How to add My Computer, This Pc and Recycle Bin Shortcuts on Desktop:- Dosto kai baar humare Pc me se My Computer/This PC, Recycle Bin, Control Panel, Network jaise kuch important softwares ke icons humare computer ya laptop ke desktop se delete ho jate hai, uske baad unko wapas kaise late hai, ye jyadater logo ko pta nhi hota hai. Ish liye wo unhe wapas desktop par nhi la pate hai. aur ish karan se unhe un softwares ko use karne ke liye ya to window search box me un softwares ko search karna padta hai ya koi other trika use karna padta hai.
Main apne pc me window 10 use kar rha hu to me aapko puri process uske according batane wala hu, ager aap window 8 ya 7 use kar rhe hai tab bhi aap ish post ko follow karke aasani se puri process ko samjh skte hai. To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum sida topic par aate hai aur iske bare me baat karte hai.
My Computer, This Pc aur Recycle Bin Ke Shortcuts Desktop Par Kaise Bnaye
To iske liye sabse pahle aapko apne pc ke mouse ke right button ko click karna hai. Uske baad aapke samne ek dialog box open ho jayega, usme aapko sabse niche ‘Personalize’ par click karna hai. phir aisa page open ho jayega.Aap jis bhi software ko desktop par lana chahte hai aapko uske naam ke samne jo check box hai ush par click karke ushe enable karna hai aur phir OK par click karke settings ko save karna hai. Itni setting karte hi aapke pc ke desktop par wo softwares wapas aa jayenge.
FAQ
PC Desktop Par My Computer Software Kaise Laye ?
Aap Theme>Display icon Settings me jakar My Computer shortcut desktop par add kar sakte hai.
Computer Me Recycle Bin Shortcut Kaise Add Kare ?
Aap Display Icon Settings me jakar Recycle Bin ka shortcut desktop par add kar sakte hai.
Desktop Par This PC Icon Kaise Late Hai ?
Aap Theme Settings me jakar This PC software ka shortcut icon lga sakte hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap My Computer/This Pc ya Recycle Bin jaise comman software ke icons ya shortcut ko wapas pc desktop par la skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
0 टिप्पणियाँ