Friends mere pass LYF ka ek mobile hai. Jo ki 6 months pahle mere hath se gir gya tha aur height thodi jyada hone ke karan uski screen thodi si crack ho gyi aur uske back button ne kaam karna band kar diya tha. Ush time mene ushe thik krane ke bare me socha tha but kuch time ke baad main new mobile lane wala tha, ish liye mene ushe thik nhi kraya.
Ushi time muje play store par ek application mil gayi jisne mere mobile me back button ka kaam kiya aur uski madad se mene apne mobile ko control kiya aur abhi bhi kar rha hu.
Ye Bhi Padhe...
Friends waise to aapko play store par aise bahut sare apps mil jayenge jinki madad se aap bina Back, Home & Recent buttons ke bhi apne mobile ko control kar skte hai. But main aapko ushi app ke bare me btauga jisko mene use kiya tha. kyuki mujhe wo app use karne me bahut hi easy lga.
Mobile Ka Back Home ya Recent Button Khrab Ho Jaye To Unhe Thik Kaise Kare
To chliye abhi hum ush app ke bare me baat karte hai. Friends ush app ka naam hai Back Button. Ye app aapko play store par aasani se mil jayega. Iski size kaphi kam hai aur ye use karne me bhi aasan hai. Back Button App Abhi Download Karne Ke Liye Yaha Click Kare.
Ish app ko download karne ke baad aapko simply ishe open karna hai. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega. Yaha par aapko iski kuch settings set karni hogi. Jo mene niche batayi hai.
Sabse pahle aapko yaha click karke ishe ON karna hai. Ager ye pahle se ON ho to pahle aapko ishe off karna hai aur uske baad wapas ON karna hai. jaise hi aap ishe ON krenge to aapse ish app ki accessibility ko enable karne ke liye kaha jayega. So aapko ish app ko permission dene ke liye Setup par click karna hai aur iski accessibility ko enable karna hai. uske baad aapko wapas ush app me aa jana hai.
2. Vibrate
Ager aap chahte hai ki jab bhi aap in buttons par click kare to aapka mobile vibrate karna chahiye to aap ishe on rakh skte hai nhi to aap ishe off bhi rakh skte hai.
3. Attached to Screen Edge
Ager aap chahte hai ki app ke ye buttons humesha mobile ki screen se attach yani ki mobile ki screen ke pass hi rahe to aap ishe on rakh sakte hai. aur ager aap in buttons ko apne hishab se mobile ki screen ke bich me ya knhi bhi rakhna chahte hai to ishe off rakh skte hai.
4. Lock position
Ager aap in buttons ko sirf ek jgah par hi lock karke rakhna chahte hai to aap ishe on rakh sakte hai.
5. Button Style
Aap jin jin buttons ko apne mobile me use karne wale hai aap unhe yaha se enable kar skte hai. jaise ki maan lijiye ki aapko sirf back button kaam me lena hai to aap sirf ushe yaha se enable rakh skte hai baki buttons ko yaha se disable kar skte hai.
6. Orientation Setting
Yaha se aap in buttons ko Horizontal ya Vertical style me change kar skte hai.
7. Theme
Yaha se aap in buttons ki theme change kar skte hai. Theme me aap in buttons ka color, background color aur in buttons ki size aur margin apne hishab se change kar skte hai.
Sab settings set karne ke baad aapko simply ish app ko close kar dena hai. abhi ye buttons humesha aapki mobile ki screen par rahenge aap jab chahe tab inhe use kar skte hai.
Ager aap in buttons ko kuch samay ke liye mobile ki screen se hide karna chahe to kar skte hai. iske liye aapko mobile ki notification bar ko scroll down karna hai. jab aap notification bar ko scroll down krenge to aapke samne aisa page open ho jayega.
2. Yaha se aap bina in buttons ke bhi home ya recent par ja skte hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap ish application ki madad se bina mobile back home ya recent button ke bhi apne mobile ko control kar skte hai. Ager aapko ish application ko use karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
FAQ
Mobile Ka Back Button Kaam Nahi Kar Raha Hai Kya Kare ?
Agar android phone ka back, recent ya home button kaam naa kare to aap Back Button app ko download kar sakte hai. Ish se ye buttons screen par uppar ko side aa jayenge.
How To Fix Back Button Not Working On Android ?
Ish article me back button kaam na kare to ushe kaise thik karte hai ? Iske bare me puri jankari detail se btai gyi hai.
To friends ummid karta hu ki ye post Mobile Ka Back Home ya Recent Button Khrab Ho Jaye To Unhe Thik Kaise Kare aapke liye helpful rhi hogi aapko achhi lgi hogi, ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kare. Aur hume comment karke jarur btaye ki aapko ye post kaisi lgi.
1 टिप्पणियाँ
bahut achhi jankari hai sir, thank u
जवाब देंहटाएं