Computer Me Close Na Hone Wale Softwares Ko Band Kaise Kare

Computer me hanq hone wale application softwares ko close kaise kare ?

Dosto ek pc aur mobile chahe kitna bhi achha kyun na unme system ke hanq hone jaisi problems hoti rehti hai. Unhi me se ek problem jo aksar laptop aur computers me hoti hai wo ye ki kai jab hum apne pc me kisi software ko use kar rahe hote hai, tab wo software hanq ho jata hai ya pc application close nhi hota hai.

Pc me kisi software ka close na hona ye ek aam user ke liye comman si problem hai. Normally jab Pc aisi problem hoti hai to jyadater log apne laptop ya computer ko off kar dete hai, kyunki unse wo softwares close nhi hote hai. But ager practically dekha jaye to ye iska solution nhi hai.

Computer Me Close Na Hone Wale Softwares Ko Band Kaise Kare

Ager aap aisa karte hai to ye aapke pc par galat effect bhi daal skta hai. Aisa karne se ush computer ke kuch programs misbehave bhi kar skte hai ya usme kuch aur technical problem bhi ho skti hai. Ish liye aap aisa bilkul bhi na kare.

Ish liye chliye abhi main aapko wo trika bta deta hu jis se hum close na hone wale hanq hone wale softwares ko close kar skte hai.

Computer Me Close Na Hone Wale Softwares Ko Band Kaise Kare

To iske liye sabse pahle aapko apne pc me Ctrl+Alt+Delete button ko ek sath press karna hai. Uske baad aapke samne ek page open ho jayega, jisme kuch options honge. Aapko usme 'Task Manager' par click karna hai. Uske baad aapk samne aisa dialog box open ho jayega.


Yaha par aapko ush software par click karke ushe select karna hai jo close nhi ho rha hai ya jise aap band karna chate hai, uske baad aapko niche ‘End Task’ par click karna hai.

Bas itna karte hi wo software aapke computer ya laptop me se close ho jayega. Iske alawa aap Alt+F4 button press karke bhi ush software ko close kar skte hai.


FAQ

Task Manager Shortcut Key Kya Hai ?

Ctrl+Alt+Delete ek sath press karke aap pc me task manager open kar sakte hai.

Computer Me Koi Software Band Na Ho To Kya Kare ?

Aap task manager ki madad se ush software ko band kar sakte hai.

Computer Hanq Ho Jaye To Kya Kare ?

Computer hanq hone par aap task manager open karke sabhi open software ko close kar de, fir computer chlne lgega.


Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne pc me se close na hone wale softwares ko close ya band kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.  Dosto ager aapko ye jankari achhi lge to ish post apne friends ke sath bhi share kare taki ager unke sath kabhi aisa ho to wo ish trike se un applications ko close kar paye.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ