Android Root Ka Kya Matlab Hota Hai ? Iske Fayde Aur Nuksan

What is Android Root Full Information in Hindi:- Hello friends Aaj hum janege ki android root kya hota hai ya rotting kise kehte hai?, Mobile ko root kyun aur kis liye kiya jata hai? Iske alawa hum iske fayde aur nuksan ke bare me bhi baat krenge. Uske baad aap khud decide kar skte hai ki aapko apne phone ko root karna chahiye ya nhi. To chliye sabse phale hum jan lete hai ki mobile root ya rotting ka kya matlab hota hai.

Android Root Kya Hai ? Janiye Iske Fayde Aur Nuksan

Android Root Ka Kya Matlab Hota Hai ?


Friends android window ki trah hi ek operating system OS hai. Jiske ander kuch limits hoti hai, jinhe ek aam user cross nhi kar skta hai. Jaise internal storage ko increase karna, system apps ko apne hishab se control karna ya phir android version ko update karna, iske alawa bhi bahut sare kaam hai jo ek aam user apne android mobile me nhi kar skta hai.

Lekin ager hum apne android mobile ko root kar lete hai to wo sari limits tut jati hai aur hum apne android mobile ko apne hisab se control kar skte hai. Friends root ka matlab hi hota hai 'jad' ager hum phone ko root kar lete hai to hum iske jad tak pahunch jate hai, matlab hum ishe puri trah se control kar skte hai.

Sabse pahle main aapko iske nuksan ke bare me bta deta hu. To chliye sabse pahle hum iske disadvantage kya kya hote hai ye jan lete hai.

Android Root Krne Ke Nuksan/ Disadvantages 


1. Warranty Lost

Ager aapka phone warranty period me chal rha hai to aapko apne phone ko root nhi karna chahiye, kyunki 90% android companies phone ko root karne ke baad uski warranty ko reject kar deti hai. Kyunki rooting ke baad phone ke khrab hone ke chances bad jate hai. Ish liye jyadatar companies root allow nhi karti hai.


2. Security Lost

Phone ko root karne ka sabse bada nuksan ye hota hai ki rooting ke baad aapke phone par android company ki set ki hui security break ho jati hai aur uske baad koi bhi third party app aapke mobile ko fully control ya hack skta hai. Iske alawa aapke mobile me kuch apps automatically install hone lag jayenge. Jinke bare me aapko pta bhi nhi chlega ki wo kab install huye. Ish liye rooting ke baad aapke phone ki security bhi khtre me rehti hai.


3. Phone Brick

Ager aap apne phone ko root karte hai to 10% chance hote hai ki aapka phone brick bhi ho skta hai. Brick means aapka mobile dead ho skta hai. Ager ek baar aapka phone dead ho gya to phir ushe koi bhi thik nhi kar payega, phir chahe aap ushe kisi bhi service center par le jao. Uske baad aapka mobile sirf dabba ban kar reh jayega. Jisme aap kuch nhi kar skte hai.

Waise aaj kal internet par kingroot jaise kuch apps hai jo aapke mobile ko safely root kar skte hai. Lekin wo sabhi mobile me kaam nhi karte hai.

4. No Updates From Company

Ager aap apne phone ko root karte hai to uske baad android company ki traf se aapko kisi bhi trah ki updates nhi milengi, jo ki kisi bhi android ke liye bahut jaruri hoti hai.

5. Heating & Crash

Android ko root karne ke baad 70% chances hai ki aapka mobile pahle se jyada heat ya garm hona shuru ho jayega. Iske alawa 80% android rooting ke baad 1 year ke ander crash yani ki khrab ho jate hai. Ish liye ye baat bhi aapko dhyan me rkhni hai.

Ye Bhi Padhe...

To ye the android mobile ko root karne ke kuch nuksan, jinhe janne ke baad shayad aap apne phone ko root na kare. Aur meri bhi aapko yahi advice hai ki aap apne phone ko root na kare. Kyunki ho skta hai ki phone ko root karte time aapse koi galati ho jaye aur aapka phone dead ho jaye. To phir aise me aapka wo phone kisi kaam nhi rhega aur aapke paise faltu me waste ho jayenge.

Lekin ager aap phir bhi apne phone ko root karna chahte hai to kar skte hai. Kyunki iske bahut sare fayde yani advantage bhi hai. To chliye ab hum iske fayde kya kya hai ye jaan lete hai, friends waise to phone root karne ke bahut se fayde hai, but yaha main aapko sirf kuch advantage bta deta hu.

Android Root Krne Ke Fayde/ Advantages 


1. Increase Internal Storage

Phone ko root karne ka ek fayda ye hota hai ish se mobile ki internal storage ko hum increase kar skte hai. Bahut se log apne phone ko ishi liye root karte hai kyunki unke mobile ki internal storage kam hoti hai aur iske karan unke mobile ke notification bar me 'Storage running out' ka massage show hota hai, aur ager kisi mobile me storage running out chal rhi matlab phone storage full ho gyi hai to wo phone slow hona start ho jata hai aur sath hi ush me play store se koi app bhi install nhi hota hai.

Ish liye bahut se log apne mobile ki internal storage ko bdane ke liye phone ko root karte hai. Ish liye ager aap bhi apne phone storage ko increase karna chahte hai to aap apne mobile ko root kar skte hai.

Phone Root Karne Ke Baad Phone Storage Ko Kaise Increase Karte Hai ?

Phone ko root karne ke uska pura control aapke hath me aa jata hai, jis se aap apne phone ki internal memory bhi bda skte ho. Internet par kuch apps hai, jinki madad se hum rooted phone ki storage me sd card ki storage merze karke phone storage ko bda skte hai.

2. Uninstall System Apps

Friends waise to hum apne android mobile se kisi bhi install kiye gye app ko wapas uninstall kar skte hai, lekin jo mobile ke sath aaye hue aaps hote, jinhe system apps bhi bolte hai, jin me se jyadatar apps humare kisi kaam ke nhi hote hai. Un apps ko hum delete ya uninstall nhi kar pate hai. Lekin ager hum phone ko root kar lete hai to uske baad hum apne mobile se un apps ko bhi uninstall kar skte hai.


3. Upgrade Android Version

Phone ko root karne ka ek fayda ye bhi hai ki rooting ke baad hum apne mobile ke android version ko apne hisab se jab chahe tab upgrade kar skte hai. Waise to bahut si mobile companies bhi apne users ko android version ko upgrade karne ka feature deti hai, but wo bahut late deti hai. Iske alawa bahut si companies aisi bhi hoti hai jo apne users ko android version upgrade karne ka feature deti hi nhi hai.

Lekin mobile ko root karne ke baad aap aasani se apne mobile ke android version ko upgrade kar skte hai. Kyunki phone ko root karne ke baad ush phone par set ki gyi sabhi limits tut jati hai aur user apne according phone ko upgrade kar skta hai.

Iske alawa play store par bhi aise bahut sare apps hai jo ki aapke liye bahut kaam ke ho skte hai aur aapke liye kamaal kar skte hai. Lekin wo sirf rooted phone me hi support karte hai. Iske alawa bhi android ko root karne ke bahut sare fayde jaise ager aapka android version KitKat ya ush se purana hai to ush me aap mobile ki screen record nhi kar skte hai. Lekin phone ko root karne ke baad aap aisa kar skte hai. Aap mobile ke fonts ki style change kar skte hai. Aise hi bahut sare kaam hai jo aap sirf ek rooted phone me hi kar skte hai.


FAQ

Phone Ko Root Krne Se Kya Hota Hai ?

Phone ko root karne ke baad hum apne phone ko puri trah se control kar sakte hai, yaha tak ki phone ke operating system me customisation kar sakte hai.

Kya Phone Ko Root Krne Se Nuksan Hota Hai ?

Ji haa, phone root karne se wo dead bhi ho sakta hai

Disadvantages Of Rooting Android Phone in Hindi

Phone ko root karne ka sabse bada disadvantage to yahi hai ki ish se aapka phone dead bhi ho sakta hai.

Kya Phone Root Karna Safe Hai ?

Nahi, isme phone ke dead hone ke kafi chance rahte hai ishliye ye safe nahi hai.


Ye Bhi Padhe...

Final Words

Last me main yahi kehna chahunga ki ager aap apne phone ko kisi khas maksad se root kar rhe hai to aap kar skte hai, koi dikkat nhi hai. But ager aapko android mobiles ke bare me jyada knowledge nhi hai aur aapko rooted phone ki jarurat nhi hai to aap aisa na kare. Kyunki isme bahut jyada risk rehta hai.

To friends ummid karta hi ki ye post Android Root Kya Hai ? Janiye Iske Fayde Aur Nuksan aapke liye helpful rahi hogi. Ager post se relative aapka koi sawal ya suggestion ho to aap nichhe comment box me comment karke de skte hai.

Tags:- rooted device meaning in hindi,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ