Android Mobile Se Duplicate Files Ko Find Karke Delete Kaise Kare

How to delete duplicate files on android:- Dosto humare mobile ke ander aksar photos, videos, audios and other files ki duplicate copies save ho jati hai. Mostly aisa ish liye hota hai kyunki kai baar hum file manager se kisi file ki copy kisi dusre folder me save kar lete hai aur pahle wali ko delete karna bhul jate hai. Iske alawa whatsapp se bhi hume ek hi file ki duplicate copies receive hoti rehti hai.

Android Mobile Se Duplicate Files Ko Find Karke Delete Kare, Sirf Ek Click Me

Iske alawa bhi kai reasons hote hai jinke karan humare mobile storage me bahut si duplicate files store ho jati hai, jinko hum delete to karna chahte hai, but hum un duplicate files ko apne mobile storage me find nhi kar pate hai, ish liye hum unhe delete nhi kar pate hai.

But ish post me main aapko ek aisa trika btauga jiski madad se aap sirf ek click me apne mobile storage aur sd card me se duplicate photos, videos aur other files ko find kar skte hai aur delete bhi kar skte hai, sirf ek click me.


Android Mobile Se Duplicate Files Ko Find Karke Delete Kaise Kare


To chliye abhi hum baat karte hai ki android mobile me sirf ek click karke duplicate files ko find karke delete kaise karte hai, friends iske liye sabse pahle to aapko play store se ek app download karna hai, jiska naam 'Duplicate File Fixer' hai. Ye aapko play store par aasani se mil jayega. Ye size me lagbhag 2MB ka hai. 'Duplicate File Fixer' App abhi download karne ke liye yaha click kare.

Ish app ko download karne ke baad aapko simply ishe open krna hai, uske baad aapke samne aisa page open hoga.


Yaha par aapke mobile ki phone storage aur sd card scan hone ke liye pahle se hi mark ho jayenge. Ish liye aapko niche sirf scan/search icon par click karna hai.

Uske baad aapke mobile storage ki sabhi files scan hona shuru ho jayegi aur jo duplicate file aapke mobile me hogi wo ish trah se find kar li jayegi.


Yaha par aap kisi bhi file par click kar ke dekh skte hai ki uski kitni copies aapke mobile me hai aur konse folder me hai.

Sabhi files ke scan hone ke baad aapko delete icon par click kar dena hai. Jaise hi aap delete par click karenge, to ye aap se confirmation mangega, so aap ok kar de. Uske baad ye aapse grant permission bhi mang skta hai.


Ager ye aapse garnt permission mange to aap simply ok par click kar karke sd card select kar le aur uske baad phir se delete par click kar de, uske baad aapke mobile se sari duplicate files delete ho jayengi aur unki sirf ek ek copy hi aapke mobile me rahegi.


FAQ

Duplicate Files Delete Karne Wala App Konsa Hai ?

Ush app ka naam Duplicate File Fixer hai jo ki play store par mil jayega.

Kya Hum Sirf Ek Click Me Sari Duplicate Files Ko Delete Kar Sakte Hai ?

Yes

Kya Hum Ek Sath Sari Duplicate Photo Delete Kar Sakte Hai ?

Yes

Ek Click Me Sabhi Duplicate Files Delete Karne Ke Liye Kya Karna Hoga ?

Iske liye aapko Duplicate File Fixer app download karna hoga.

Phone Me Se Duplicate Photo Kaise Htaye ? 2024

> Sabse pahle Duplicate File Fixer app download kare.

> Fir scan par click kare aapke samne sari duplicate files aa jayegi.

> Fir delete par click kare sari duplicate files delete ho jayegi.


Ye Bhi Padhe...

Ish trike se aap sirf ek click me apne android mobile se duplicate files ko find karke delete kar skte hai. To friends ummid krta hi ki ye post aapke liye helpful rahi hogi. Ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kare.

Tags:- how to delete duplicate photos in gallery, best app to delete duplicate photos on android,

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ