Block Sim Card Ka PUK Code Kaise Pta Kre

Where Do I Find My PUK Code in Hindi:-  Dosto kai baar aisa hota ki jane anjane me hum apne mobile me sim card par lock set kar dete hai. Uske baad jab hum uska PIN bhul jate hai aur galat PIN lga kar ushe unlock krne ki kosis krte hai to wo sim lock ho jati hai aur PUK code mangne lgti hai.

Iske bare me logo ko jyada pta nhi hota hai. Ish liye ya to wo baar baar galat PUK ke number lga kar apni sim ko completely block kar lete hai ya phir ushe kisi service center par lekar jate hai. Jiske unhe paise dene padte hai.

Block Sim Card Ka PUK Code/Number Kaise Pta Kre

To ager aapne bhi kisi sim ko galti se lock kar diya hai aur abhi wo sim PUK code mang rhi hai to aapko ye sab karne ki jarurat nhi pdegi. Ynha hum aapko kuch simple se steps btayenge, jinhe follow kar ke aap apni kisi bhi sim card jaise (Airtel, Vodafone Idea, Jio etc.) ko sirf 5 minutes me unlock kar skte hai.

Par ush se pahle hum PUK ke bare me kuch jan lete hai.

PUK Code Kya Hota Hai ?


PUK ka full form 'Personal Unlocking Key' hota hai. Ish se hum apne sim card ko safe rakh skte hai. Ager hum apne sim card par ye lock set kar de to koi bhi humari sim ko use nhi kar skta hai, jab tak ki usme sahi PIN na dala jaye.

Lekin bahut kam log ish lock ko use krte hai, kyunki PIN bhul jane ke baad jab hum sim ko unlock krne ke liye 3 se jyada baar (kuch sim cards me 10 baar) galat PIN lgate hai. To wo sim hmesha ke liye block ho jati hai. Ish liye jyadatar log ishe use nhi krte hai. But kai baar ye lock humse ya humare ghar ke kisi member se galti se bhi lag jata hai. Ish liye tab bhi hume sim card ko unlock krne ke liye PUK code ki jarurat padti hai.


Kisi Bhi Sim Ka PUK Code Kaise Pta Kre ?


Iske bare me batane se pahle main aapko bta du ki ager aapki sim card par galti se ye lock lag jaye aur aapse PUK code mange to baar baar galat PIN dal kar ushe unlock krne ki kosis na kre. Kyunki hume apni sim ko unlock krne ke sirf 3-10 chance hi milte hai.

Ager hum ish se jyada baar galat PIN lga kar ushe unlock krne ki kosis krenge to humari sim hmesha ke liye block ho jayegi. Uske baad koi bhi ushe unlock nhi kar payega. Ish liye ish baat ka dhyan rakhe.

To ab hum baat krte hai ki PUK number kaise pta krte hai. Dosto aapki sim chahe kisi bhi company ki ho jaise Airtel, Vodafone, Idea, Aircel, Reliance etc. Sabhi ke PUK code/number pta krne ki same process hai.

1. Iske liye sabse pahle aapko apne sim provider company ke helpline number par call krna hai. Jo ki normally 121, 111, ya 198 hota hai.

2. Uske baad costumer care executive se baat kre, aur unhe iske bare me btaye.

3. Wo aap se sim card ke owner ka naam, address etc. puchhenge, aap sab sahi se bta de.

4. Uske baad wo aapko PUK code btayenge. Ushe ek paper par note kar le.

5. Uske baad ush sim me wo code dale, jisme PUK number manga rha hai. Code dalne ke baad aapse PIN manga jayega. Wnha par aapko 1234 dalna hai. Ye pin aapko 2 baar dalna hai.

Pin dalne ke baad aapki sim unlock ho jayegi. Ab ager aap nhi chahte ki aapki sim phir se PUK number mange to apne mobile ki Security Settings me jakar sim card lock ko OFF kar de.


FAQ Related to PUK Code 

Mujhe Apna Puk Code Kaha Milega ?

Aap apni telecom company ke customer care number par dusre phone se call krke apni sim ke puk code pta lga sakte hai.

Puk Code Kaise Milta Hai ?

Customer care ke number par call krne par wo aapse aapki kuch basic jankari puchhte hai fir aapka puk code bta dete hai.

Kya Mujhe Apna Puk Code Online Mil Skta Hai ?

Ji Haa, aap apna puk code online bhi nikal sakte hai. Iske liye aapko apni telecom company ka app install krna pdega. Jaise ki Jio ke liye My Jio, airtel ke liye My Airtel app

Puk Code Kaise Tode ?

PUK code todne ke liye aapko puk code pta hona jaruri hai, jo ki aap online ya customer care ke number par call krke pta kar sakte hai.

How To Get Puk Code By SMS ?

PUK code pta lgane ke liye aapko customer care ke number par call hi krna pdega, abhi tak sms se puk code pta krna ka koi trika nahi hai.


Ye Bhi Padhe...


To ish trike se aap apni blocked sim card PUK code pta kar skte hai aur apni blocked sim card ko wapas unlock kar skte hai. To dosto ummid krta hu ki ye jankari aapke liye jarur helpful rhi hogi. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte hai aur ager aapko ye post mujhe apna puk code kaha milega, puk code kaise milta hai helpful lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kre. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ