Truecaller Se Khud Ke Mobile Number Remove Kaise Kare

How to Remove Phone Number From Truecaller ?


Friends pichhli post me maine aapko btaya tha ki Truecaller kaise kaam krta hai ya truecaller kisi bhi number ki sahi details kaise de deta hai. Iske alawa maine ush post me Truecaller ki accuracy ke bare me bhi btaya tha. Ager aapne wo post nhi padhi hai to abhi niche click kar ke aap wo post padh skte hai.


Truecaller Se Khud Ke Mobile Number Remove Kaise Kare

Ish post me main aapko btaunga ki Truecaller se apne khud ke mobile number kaise hide ya remove krte hai ?


Truecaller Se Khud Ke Mobile Number Remove Kaise Kare


Friends jaisa ki humne pichhli post me btaya tha ki Truecaller apne users ke data ke base par hi kisi bhi number ki details btata hai. Jo bhi person iske app ko apne mobile me install krta hai ush user ke mobile me add sabhi contact numbers Truecaller me ke pass chle jate hai. Aur phir ushi data ke base par wo kisi bhi number ki detail btata hai.

Ish liye ager aapne kabhi Truecaller use nhi kiya hai tab bhi aapke number iski directory me save ho skte hai. Kyunki ab tak 100 million se bhi jyada logo ne ish app ko apne mobile me install kiya hai. Ish liye ho skta hai ki kisi aise person ne bhi ish app ko install kiya ho jiske mobile me aapke mobile number save ho.

Ab aise me ager aap nhi chahte ki Truecaller aapke number ki detail kisi ko bhi dikhaye to aapko apne number Truecaller me se unlist krne honge. Truecaller se ek baar phone number unlist krne ke baad ye aapke number ki detail kisi ko bhi nhi dikhayega.

Truecaller se mobile number unlist krna bahut hi aasan hai. Iske liye bas aapko niche btai gyi jankari ko thik se pdhna hai aur niche btaye gye steps ko achhe se follow karna hai.

Iske liye sabse pahle to aapko ynha https://www.truecaller.com/unlisting ish link par click karke Truecaller Unlist page par jana hai. Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.


Jaisa ki aap dekh skte hai ki ynha yellow box me likha hua hai ki jis number ko aap block ya unlist krna chahte hai ager ush number se aapne Truecaller par account bna rkha hai to sabse pahle aapko apna account deactivated krna hai. Uske baad hi apne number unlist kre. Aur ager aapne ush number se ish par account nhi bnaya hai to ye condition aap par lagu nhi hoti hai.

Ish liye simply niche apne mobile number country code ke sath dale. ( india ke country code +91 hai ) aur niche 'I am not a robot' ke samne jo khali box hai ush par click kre.

Uske baad aapko ek CAPTCHA milega. Ushe solve kre de.

CAPTCHA solve hone ke baad ush khali box me (√) right ka nisan aa jayega.

Uske baad aapko niche 'Unlist Phone Number' par click krna hai. Click krne ke baad aapse ek baar phir se puchha jayega ki kya aap apne mobile number unlist krna chahte hai. Aap phir se 'Unlist Phone Number' par click kar de.

Uske baad ek massage show ki aapke mobile number 24 hours ke under Truecaller se unlist ya remove kar diye jayenge. Aap chahe to 24 hours ke baad check kar skte hai ki aapke number remove hoye ya nhi.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap Truecaller se apne mobile number remove/hide/unlist kar skte hai. Ager ish process me aapko koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai. Aur ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kre taki wo bhi apne mobile number Truecaller se remove kar ske.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ