Truecaller Kaise Kaam Krta Hai - How Does It Work ?

Truecaller Kaise Kaam Krta Hai - How Does It Work:- Shayad hi koi aisa Internet user hoga jo Truecaller ke bare me na janta ho, aur current time me to ye bahut jyada famous ho chuka hai, ish liye na janne ka to swal hi nhi banta.

But phir bhi mai aapko btana chahunga ki Truecaller ek aisa app/website hai jiski madad se hum kisi bhi number ki details pta lga skte hai.

Truecaller Stockholm, Sweden ki ek private company 'True Software Scandinavia AB' ke dwara 2009 developed kiya gya. Jiske founder 'Alan Mamedi aur Nami Zarringhalam' hai.

Aapne bhi kabhi na kabhi truecaller ko jarur use kiya hoga, jab kisi unknown no. ne aapko preshan kiya hoga ya jab aapko kisi anjaan number ki detail nikalni pad hogi. To jab Truecaller ne ush number ki puri detail btai hogi to sabhi ki trah aapke dimag me bhi kuch sawal jarur aaye honge. Jaise

:- Truecaller Kaam Kaise Krta hai 

:- Truecaller Kisi Bhi No. Ke Owner Ka Naam Kaise Bta Deta Hai ? 

:- Truecaller Par Humara Naam Kaise Save Hota Hai ?

Truecaller Kaise Kaam Krta Hai - How Does It Work ?

To ish liye aaj hum aapko ishi ke bare me btayenge ki Truecaller kaise kaam krta hai ? Aur ye kisi bhi mobile no. ke owner ka naam kaise bta deta hai.

Truecaller Kaise Kaam Krta Hai - How Does It Work ?


To friends main aapko btana chahunga ki Truecaller apne users ke data ke base par hi kisi bhi number ki detail de deta hai. Jo bhi person truecaller app ko apne mobile me install krta hai to uske mobile me jitne bhi contacts number add hote hai un sabhi ki list Truecaller directory me save ho jati hai.

Aur uske baad jab koi person unme se kisi number ko truecaller par search krta hai to truecaller ush number ki  puri details bta deta hai.

Jaise ki example ke liye maan lijiye ki aap Truecaller app apne mobile me install krte hai, to aapke mobile me jitne bhi contact no. add honge unke naam aur number Truecaller ki directory me save ho jayenge. Aur phir jab koi person unme se kisi number ko search krega to aapke mobile me add details ke hisab se hi truecaller ush person ko uske owner ka naam bta deta hai.

Ab ager hum play store par iske downloads dekhe to ab tak iske 100 million downloads ho chuke hai. Ab 100 million logo ke mobile ki contact list me jitne bhi mobile no. add honge wo sabhi Truecaller ki directory me naam ke sath save milenge. Aur jab bhi koi person unme se kisi bhi number ko search krega to truecaller directory me save data ke hisab se uski detail bta dega.

Ye Bhi Padhe...

To abhi aapko pta chal gya hoga ki aakhir Truecaller kaam kaise krta hai ya ye kisi bhi mobile number ki detail kaise bta deta hai. But abhi aapke dimag me kuch aur sawal honge jaise...

1. Kya Truecaller 100% Sahi Details Deta Hai ?

2.Truecaller Kya Kya Jankari De Skta Hai ?

3. Kya Truecaller Sirf Android Users Ke Mobile No. Ki Details Deta Hai ?

1. Iska jwab hai NO. Jaisa ki mene pahle btaya ki jab koi person Truecaller app download krta hai to uske mobile me add mobile numbers aur unke naam iski directory me save ho jate hai, aur phir jab koi person unme se kisi number ko search krta hai to apni directory me save data ki madad se hi Truecaller ush number ki detail deta hai.

Ab maan lijiye aapke kuch relatives jo Truecaller use krte hai unhone aapke mobile number friend, bro, bhai, uncle ish trah alag alag naam se save kar rkhe hai, to Truecaller me aapke number ke sath aapki details bhi ish trah se save hogi. Ab ager koi person aapke number search krega to ye ush person ko kuch bhi naam bta skta hai. Jaise ( friend, bro, bhai, uncle ) joki aapka real naam nhi hai.

Ish liye hum ye bol skte hai ki Truecaller kisi bhi number ki detail 100% sahi dega iski koi grantee nhi hai.

2.Truecaller Kya Kya Jankari De Skta Hai ?

Truecaller kisi bhi number ki sirf kuch limited jankari hi bta skta hai. Jaise wo sim konsi telecom company ki hai, india ke konse state me hai, ush number ke malik ka kya naam hai. Aur ager ush number se truecaller par account hua to aapko uski photo bhi dikhai ja skti hai.

Ye Bhi Padhe...

3. Kya Truecaller Sirf Android Users Ke Mobile No. Ki Details Deta Hai ?

Iska jwab bhi hai NO. Jaisa ki me bta chuka hu ki Truecaller apne users ki contact list me se numbers ki details leta hai. Ish liye simple si baat hai ki sabhi ki contact list me kuch aise numbers bhi save hote hai jo android user nhi hote hai. To aise me ager koi unme se kisi number ko Truecaller par search krta hai to ye uski details bhi bta deta hai.

Ye Bhi Padhe...

To dosto ab tak aap jan gye honge ki Truecaller kaam kaise krta hai. Ager Truecaller ko lekar aapke dimag koi aur sawal ho to aap comment karke puchh skte hai. Friends ager aapko humari ye post Truecaller Kaise Kaam Krta Hai - How Does It Work ? achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kre. Taki unko bhi iske bare me pta chle.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ