How to Recover Permanently Deleted Photos From Android Mobile ?
Friends ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai. Kyunki aaj ish post me main aapko batane wala hun ki apne android mobile se delete ho chuki photos ko android mobile se hi wapas recover kaise krte hai ?Friends hum sabhi ke pass aisi kuch images hoti hai, jinke sath humare emotions jude hue hote hai, ish liye humare liye wo images humare liye bahut jyada important hoti hai. But kai baar humari wo important photos humare mobile me se kisi na kisi karan se delete ho jati hai.
Un photos ke delete hone se hume bahut dukh hota hai. Kyunki humare liye wo photos bahut important hoti hai aur unke sath humari bahut si yade judi hui hoti hai, aur jaisa ki aap jante hai ki ek baar delete hone ke baad hum un photos ko wapas recover nhi kar pate hai.
Ji ha dosto, ab aap apne android mobile se delete hui photos ko apne android mobile se recover kar skte hai. mobile se delete photo wapas lane ke liye aapko jyada kuch nhi krna hai. Bas ish post ko last tak padhna hai. Phir aap aasani se aisa kar skte hai.
Mobile Gellery Se Delete Photo Wapas Kaise Laye
Friends play store par ek app hai jis ki madad se hum aisa kar skte hai. Ush app ka naam hai 'DiskDigger'. Ye bahut hi achha app hai, jis se hum apni delete hui photos ko aasani se recover kar skte hai. Lekin ish app ki madad lene se pahle aap ek baar apne mobile ki gellery me mojud Trash/Bin Folder me apni delete ho chuki photo jarur check kar le, kyunki Aaj kal sabhi mobile me Recently Delete Photo, Ya Trash/Bin ka option hota hai, jisme hamne last 30 days me jo bhi photo ya video delet ki hoti hai wo save rhti hai.
Ish liye sabse pahle aapko apne mobile me mojud Trash/ Bin folder ko jarur check krna hai. Agar ush folder me aapko aapki photos na mile to aap DiskDigger app download kar skte hai. Ish app ko madad se aap apni purani se purani delete ho chuki photos ko recover kar skte hai. Ye app aapko play store par aasani se mil jayega. Iske alawa aap abhi niche link par click krke ish app ko download kar skte hai.
Diskdigger App Abhi Download Krne Ke Liye Yaha Click Kre.
To apne mobile gallery se delete huye photo wapas lane ke liye sabse pahle to aapko ye app download krna hai.
Uske baad jab aap ish app ko open krenge to ish trah se page open hoga.
Uske baad aapne apne phone ko jab new purchase kiya tha ush samay se lekar photos scan krte samay tak aapke mobile me jitne bhi photo store hui hai. Wo sabhi photos restore hona shuru ho jayegi. Jaisa ki aap niche image me dekh skte hai.
Uske baad aisa page open hoga. Yaha par aapko 2nd option 'Save the files to a custom location' par click karke File Manager me folder select krna hai jis me aap un photos ko save krna chahte hai aur uske baad photos ko save kar le.
Uske baad aap File Manager me jakar wo photos check kar skte hai. Aapke select kiye gye folder me wo photos aapko mil jayegi.
FAQ Related to Delete Photo Recovery
Kya Mobile Se Delete Photo Wapas Recover Ho Sakti hai ?
Ji haan, aisa possible hai, aap mobile me DiskDigger app install karke aisa kar sakte hai.
Kya Free Me Mobile Se Delete Photo Wapas Aa Sakti Hai ?
DiskDigger app bilkul free hai, isliye ish app se photo recover krne ke liye aapko paise nahi dene padenge.
File Manager Se Delete Huyi Photo Wapas Kaise Laye ?
DiskDigger app ki madad se file manager se delete ho chuki photo recover ki ja sakti hai.
Delete Photo Wapas Lane Wala App Konsa Hai ?
Delete photo wapas lane wale app ka naam DiskDigger hai.
Kya Delete Photo Wapas Ushi Quality Me Recover Ho Sakti Hai ?
Ji Nahi, delete photo recover to ho jati hai par unki quality pahle jaisi nahi rahti hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap ish app ki madad se apne android mobile se delete hui photos ko phir se restore kar skte hai.
Ager ish app se photos restore krne me aapko koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte hai aur ager aapko ye post mobile gallery se delete huye photo wapas kaise laye, helpful lgi ho to please ishe apne friends ke sath bhi jarur share kre.
To ish trike se aap ish app ki madad se apne android mobile se delete hui photos ko phir se restore kar skte hai.
Ager ish app se photos restore krne me aapko koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte hai aur ager aapko ye post mobile gallery se delete huye photo wapas kaise laye, helpful lgi ho to please ishe apne friends ke sath bhi jarur share kre.
2 टिप्पणियाँ
good info bhai
जवाब देंहटाएंBhai sab photos nhi aa rahi hai
जवाब देंहटाएं