Auto Liker And Follower App/ Website Ke Fayde Aur Nuksan:- Hello friends Aaj ek baar phir se me aapke liye ek aisi post lekar aaya hu jo aapke social site accounts jaise Facebook, Twitter Instagram etc ki security aur privacy se relative hai. Dosto aaj hum baat krenge ki ager hum kisi Auto Liker ya Auto Follower app/website ko use krke apne social site account par likes ya followers increase krte hai to hume kitna fayda (advantage) ya kitna nuksan (disadvantage) hai.
But ush se pahle hum baat krenge ki aaj ke time likes aur followers pane ka itna craz kyu hai ?
Ager hum current time ki baat kre to sabhi social site users yahi chahte hai ki unki post par jyada se jyada likes aaye ya unke account par jyada se jyada followers ho. Kyunki lagbhag sabhi log ye maan kar chlte hai ki social sites par jiske sabse jyada followers honge ya jiski post par jyada likes aayenge wo jyada respected mana jayega.
But ager hum practically dekhe to chahe facebook ya other kisi bhi social site par humare kitne bhi friends ya followers kyun na ho but unme se maximum 200 se 300 log hi aise hote hai jinko hum personally jante hai aur wo hume jante hai.
Aur ager hum baat kre likes ya followers ke bare me to usually dekha gya hai ki sirf wahi log humari post ko like ya follow krte hai. Ab aise me bahut muskil hai ki humari post par thousands me likes ya follows aaye to aise me bahut se log aise hote hai jo likes aur followers increase krne ke liye kuch aisi sites ya apps ko use krte hai, jo hume free me likes aur followers deti hai. Jinko Auto Liker ya Auto Follower app ya website bolte hai.

Auto Liker And Follower Apps/ Websites Ke Fayde Aur Nuksan
To chliye ab hum aapko btate hai ki in Auto Liker/Follower apps ya website ko use krna knha tak sahi hai, ya inko use krne se hume kitna fayda ya nuksan hai. Phir aap khud decide kar le ki aapko in apps/websites ko use krna chahiye ya nhi.
Auto Liker Ke Nuksan:-
1. Endangering Your Security & Privacy
Ager hum baat kre disadvantages ki to sabse bda disadvantage yahi ki in apps ya websites ko use krne ka matlab hai apne account ki security ko khtre ( danger ) me dalna. Kyunki inko use krne ke liye sabse pahle to hume apne facebook account se in me 'sign in' krna padta hai aur sign in krne ke sath hi hum ush app ya website ko humare account ko access krne ki permission de dete hai.
Jis se wo app ya website humare account ko kaphi had tak control kar leta hai. Jo ki humare account ki security ke liye dangerous hota hai. Aur ager hum baat kre account privacy ki to wo bhi khtre me aa jati hai kyunki inko use krne se humari privacy public ho jati hai. Jo ki humare account ki security ke liye sahi nhi hai.
2. Misuse Of Your Account
Aapko kya lgta hai ki ye apps ya websites hume free me likes ya follows kyun dete hai ? Ager nhi to chliye hum aapko batate hai. Ye apps ya websites hume aise hi likes ya followers nhi deta hai. Iske badle me wo humare account se bhi other users ki posts par likes aur follows deta hai. Kyunki in me sign in krne ke sath hi hum inko ye permission de dete hai.
Ab problem ye ki ye apps/websites humare account se kisi bhi trah ki posts ko like ya follow kar skte hai. Jis se aapko aage jakar bahut si problems ka samna bhi krna pad skta hai. Iske alawa ye apps/websites humare account ka galat istemal bhi kar skte hai. Kyunki humare dwara sign in krne ke sath hi inko permission di hui hoti hai.
3. Your Account Will Be Block
Ager hum in apps ya websites ko use krte hai to facebook ya other jis bhi social site ke account par hum inki madad se auto likes ya followers increase krte hai wo account block ho skte hai. Kyunki koi bhi social site ye allow nhi krti ki unka koi bhi user kisi 3rd party ki madad se likes ya followers badhaye.
Ager aap aisa krte hai to aapko penalty mil skti hai, aur aapke account ko temporary ya permanently block kiya ja skta hai.
To ye kuch most disadvantages the, ab hum advantages ke bare me baat krte hai.
Auto Liker Ke Fayde:-
Ager hum advantage yani fayde ki baat kre to ish se hume sirf ek fayda hai aur wo ye ki inse humare likes aur followers increase ho jate hai. But muje nhi lgta ki aapko itne nuksan utha kar apne likers ya followers badhane chahiye. Kyunki social sites par humare account ki safety sabse jyada jaruri hoti hai, aur inko use krne se aapke account ki security khtre me pad sakti hai.
Ish liye kuch likes ya followers ke chakar me apne account ki security ko khtre me na dale. Aapko humari final advice yahi hai ki Auto Liker & Auto Follower apps ya websites ko use na kre. Kyunki ye aapke account ke liye khtra ban skte hai. Phir bhi ager aap chahe to inko use kar skte hai.
To friends aapko ye post kaisi lgi hume comment karke jarur btaye. Ager humari ye post Auto Liker And Follower Apps/Websites Ke Fayde Aur Nuksan achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kre.
2 टिप्पणियाँ
thanks for
जवाब देंहटाएंSuggestion
Welcome surendra ji, keep visiting
जवाब देंहटाएं