How to lock whatsapp chat on android phone:- Friends aap whatsapp to jarur use krte honge, kyunki whatsapp ek bahut hi popular messenger app hai, jo ki hume entertain to karta hi hai sath hi iske dwara hum apne friends aur family members se bhi contact me rehte hai.
Whatsapp par hum daily apne friends aur family members ke sath chatting karte hai aur sath hi whatsapp groups ko bhi enjoy karte hai. Ab whatsapp par humari aisi bahut saari personal aur group chats hoti hai, jinke bare me hum nhi chahte ki unhe koi bhi dekhe ya padhe.To ish liye ush chat ko dusro se hide krne ke liye hum normally 2 methods use krte hai.
1st:- Ya to hum wo chatting complete hone ke baad ushe delete kar dete hai. But kai baar hum ushe delete krna bhul jate hai. Ish liye ye trika sahi nhi hai.
2nd:- Hum ush chat ko Archive Chat me daal kar ushe hide kar dete hai. Whatsapp par kisi bhi chat ko hide kaise kare ? janne ke liye ynha click kare.
But chat ko hide karne wala trika bhi abhi jyada safe nhi rha, kyunki aaj kal iske bare me sabhi jante hai. Ish liye ush chat ko whatsapp me se hide karne ke baad bhi ushe koi bhi padh skta hai aur aapke liye problems create ho skti hai.
To ish problem ka solution main aapko ish post me batane wala hu. Ish post me main aapko aise 2 trike btayenge jinki madad se aap whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Whatsapp Par Chat Kaise Lock Kare
Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre
Whatsapp Chat Locker aap abhi download krne ke liye yaha Whatsapp Chat Lock App Download
App ko download krne ke baad ishe open kre. Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.
2. Yaha par aapko wahi password phir se dalna hai.
3. Yaha par aapko apne password se relative hi kuch hint set krna hai. Taki ager aap iske password bhul bhi jaye, to ye hint dekh kar aapko wo password yaad aa jaye.
4. Last me OK par click kar de.
Uske baad aapke samne ek aisa page open hoga.
Aapko OK par click krna hai. Uske baad aapke mobile setting ki accessibility open ho jayegi. Wnha par aapko WhatsApp Chat Locker ki accessibility ko On kar dena hai, aur phir back jana hai, Uske baad aap wapas ush aap me pahunch jayenge.
Phir aapko wapas + icon par click krna hai, aur phir aapko bilkul waise hi 5 options milenge. Aapko phir se Lock WhatsApp Chat par click krna hai.
Uske baad phir se aapke samne ek massage show hoga.
Aapko OK par click krna hai. OK krne ke baad aapka whatsapp open ho jayega. Ab aapko jis chat par password set krna hai ush par click kre.
Click krte hi aapki wo chat lock ho jayegi aur aap wapas ush app me chle jaoge. Ager aap aur bhi chats ko lock krna chahe to bilkul waise hi (+) icon par click krke aap aur bhi chats par password set krke unhe lock kar skte hai.
FAQ
Whatsapp Chat Lock Krne Wala App Konsa Hai ?
Waise to abhi whatsapp me hi chat lock krne ka feature aa gya hai jiske bare me ish article me btaya gya hai, fir bhi aap Whatsapp Chat Locker app download krke apni chat par lock lga sakte hai.
Whatsapp Chat Par Password Lock Kaise Lgaye ?
Whatsapp me inbuilt chat lock se ham sirf fingerprint lock lga sakte hai. Agar aapko password lock lgana ho to iske liye aapko koi chat lock app download krna pdega.
Kya Ham Apni Whatsapp Chat Par Password Lock Lga Sakte Hai ?
Ji haa, aap aisa kar sakte hai. Whatsapp chat lock krne ke liye aap kisi app ko bhi use kar sakte hai aur whatsapp me bhi abhi chat lock feature aa gya hai to aap uska istemal bhi kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap Whatsapp me apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai. To dosto ummid krta hu ki ye post Whatsapp Par Kisi Bhi Chat Ko Lock Kaise Kre aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share jarur kare.
0 टिप्पणियाँ