Mobile Ke Camera Se Kisi Bhi Language Ko Apni Language Me Translate Kaise Kre:- Friends aaj ek baar phir se main aapke liye ek bahut hi useful post lekar aaya hun. Jis me main aapko ek aise App ke bare me batane wala hu jiski madad se aap apne mobile ke camera se kisi bhi language me likhe huye words ko apni local language me translate kar skte hai.
Ji haa dosto ish app ki madad se hum kisi bhi language ko kisi bhi language me translate kar skte hai, sath hi ish app se language translate krne ke liye aapko kuch type krne ki bhi jrurat nhi pdegi. Ish app se aap apne mobile ke camera ki madad se hi ush language ko apni local language me translate kar payenge.
Ji haa dosto ish app ki madad se hum kisi bhi language ko kisi bhi language me translate kar skte hai, sath hi ish app se language translate krne ke liye aapko kuch type krne ki bhi jrurat nhi pdegi. Ish app se aap apne mobile ke camera ki madad se hi ush language ko apni local language me translate kar payenge.
Jab aap un other language me likhe gye words apne mobile ke camera ke samne layenge to wo automatically hi aapki choose ki gyi language me translate ho jayenge. Baki jab aap ish app ko khud use krenge to ishe aur achhe se samjh payenge.
Mobile Ke Camera Se Kisi Bhi Language Ko Apni Language Me Translate Kaise Kre
To chliye ab hum ush app ke bare me baat kar lete hai. Ush app ka naam Google Translate hai. Ye ek bahut hi achha app hai, jo ki google ka hi hai. Play Store par iski rating 4.4 hai aur ab tak 500 million se bhi jyada logo ne isko use kiya hai.
Ye Bhi Padhe...
Ish app ko use krne ke liye sabse pahle to aapko play store me jakar ish app ko download krna hoga.
Google Translate Abhi Download Krne Ke Liye Yaha Click Kre.
Uske baad ish app ko open kre.
1. Yaha par wo other language select krni hai, jise aap translate krna chahte hai.
2. Yaha par aap apni local language select kare.
3. Language select krne ke baad DONE par click kar de.
Phir aapke samne ek aisa page open hoga.
Jaisa ki aap image me dekh skte hai ki yaha par aapko ek camera ka icon milega. Aapko ush par click krna hai. Uske baad aapke mobile ka camera open ho jayega.
Camera ON hone ke baad aapko un words ko aapke mobile ke camera ke samne rkhne hai jinhe aap translate krna chahte hai. Ager aap mobile ki gallery me se kisi image ki language ko translate krna chahte hai. To aap wo bhi kar skte hai.
Gallery se photo select krne ke liye aapko gallery icon par click krna hai. ( gallery icon aapko wnhi par mil jayega ) Uske baad gallery me jakar ush image ko select kar le.
Phir ek aisa page open hoga, Jaisa ki aap niche image me dekh skte hai.
To iske liye hume 2 options mil jate hai. Aap chahe to drag krke sirf words ko select kar skte hai jinko aap apni language me translate karna chahte hai, ya phir SELECT ALL par click kar ke sabhi words ko ek sath me select kar skte hai.
Words ko select krne ke baad wo language aapki select ki hui language me translate ho jayegi. Jaisa ki niche aap image me dekh skte hai.
To ish trike se aap ish app ki madad se apne mobile ke camera se kisi bhi language ko apni language me translate kar skte hai. To dosto ummid karta hun ki ye post Mobile Ke Camera Se Kisi Bhi Language Ko Apni Language Me Translate Kaise Kre aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare.
FAQ
Wo Konsa App Hai Jo Camera Se Language Translate Krta Hai ?
Google Translate app se ham mobile camera se bhi language translate kar sakte hai.
Camera Se Scan Karke Language Translate Kaise Kare ?
Google Translate ek aisa app hai jisme ham camera se scan krke kisi bhi language ko translate kar sakte hai.
Image Me Likhi Hui Language Ko Online Translate Kaise Kare ?
Google Translator app ki madad se kisi bhi language ki image ko aap apni language me translate kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe...
0 टिप्पणियाँ