Hotspot Se Share Kiye Jane Wale Internet Data Ki Speed Control Kaise Kre:- Aaj ka jmana internet ka jmana h ish liye crore's log internet use krte h. Internet chlane wale logo me se jyadatar log
mobile se internet chlate h, aur Mobile se internet chlane wale logo me se lagbhag 90% log android mobile use krte h. Kyunki jyadatar logo ki pasand android mobile hi h ish liye wo apne android mobile me hi internet chlana pasand krte h.
Log Android Mobile Use Krna Hi Pasand Kyun Krte Hai ?
Jyadatar log android mobile hi use krte h kyunki android mobile me bahut hi achhe achhe aur useful features hote h, jo ki normally ek laptop ya pc me hote h. Android mobile lagbhag wo sabhi kaam kar skta h jo ek
laptop ya pc krta h. Ish liye jyadatar log android mobile ko use krna hi pasand krte h.
Jaisa ki mene pehle kha ki android mobile me bahut hi achhe aur useful features hote h, unhi me se ek hai Tethering and portable hotspot. Sayad hi koi aisa android internet user hoga jo Tethering and portable hotspot ke bare me na janta ho. Jinko iske bare me pta h, wo sabhi hotspot use krte h. Kyunki ye android mobile ka ek bahut hi useful
feature h.
To ab hum Hotspot se share kiye jane wale internet data usage speed ko control krne ke bare me baat krte hai par ush se pahle hum hotspot ke bare thoda sa jan lete hai
Tethering And Portable Hotspot Kya Hai ?
Tethering and Portable Hotspot android mobiles me ek aisa feature hota h, jis se hum apne android mobile ke internet data ko dusre android mobile par share kar skte h. Ish feature ki help se hum wifi ke through ush mobile me bhi internet chla skte h jis me internet pack nhi h. Ye ek bahut achha feature h jo ki android users ke bich bahut popular h.
Lekin aaj kal intrenet data bahut mehnga ho gya h, ish liye koi bhi apne data ko faltu me waste nhi krna chahta h. Ish liye jab bhi hume apne intrenet data ko hotspot se kisi person ke sath share krte h to ye chinta humesha rhti h ki pta nhi ye kitna data use krega.
Ish liye aaj hum aapko hotspot ke bare me ek aisi trick btayenge jis se aap Hotspot se share kiye jane wale data usage ki speed ko to control kar hi sakenge (chahe to bilkul stop bhi kar skte h ) Aur sath Hotspot ke dwara jo android mobile aapke mobile se connected h, wo kitna data use kar chuka ya kar rha h ? Ye bhi check kar sakenge.
( Note:- hotspot se share kiye jane wale internet data ki speed ko control krne ke options sabhi android mobiles me nhi hote h, fir bhi yaha ham aapko 2 trike options ke bare me btayenge, jinme se ek option to aapke mobile me jarur mil jayega.)
Hotspot Se Share Kiye Jane Wale Internet Data Ki Speed Control Kaise Kre
Hotspot se share kiye jane wale internet data usage speed ko control krne ke liye step follow kre.
1. Sabse pahle mobile Settings me jaye.
2. Phir More/More settings par click kre.
3. Ab Tethering And Portable Hotspot par click kre.
4. Ab Wi-Fi Hotspot par click kre aur hotspot ko ON kar le.
5. Ab wahi Hotspot Setting me aapko Bandwidth Usage ka option milega, ush par click kre. Phir ek aisa page open hoga jaisa aap image me dekh skte h.
6. Yaha par aap dekh skte h ki Bandwidth Usage me upper ek Enable Bandwidth Throttling ka option h aur uske samne ek box h, ush box par click kar ke ushe enable kar le. Ager wo pahle se Enable h to ushe enable hi rehne de.
7. Ab aap hotspot se share kiye jane wale intrenet data ki usage speed ko control kar skte h.
Aap image me dekh skte h ki 'Bandwidth Usage' me mene hotspot se share hone wale Internet data ki speed 2KB par second set ki hui h. Ish liye Ab jo bhi mobile mere mobile se hotspot ke through connect hoga, wo 2KB par second se jyada data use nhi kar payega.
Ager aap ke mobile me 'Bandwidth Usage' ka option h to aap bhi apne mobile me hotspot se share kiye jane wale internet data ki speed apne hisab se control ya set kar skte h.
Speed Set Kaise Kare ?
Speed set krne ke liye image me jo red colour ki line h, ushe upper niche kar ke aap speed ko kam jyada kar skte h. Sath hi aap yahi Bandwidth Usage me aa kar check kar skte h ki ( check krte samay tak ) connected user hotspot se ab tak kitna data use kar chuka h.
Agar aapke mobile me Bandwidth Usage ka option nahi hai to koi baat nahi, aap fir bhi apne mobile me hotspot se share kiye jane wale data ki limit set kar skte hai.
Bandwidth Usage Ka Option Na Hotspot Se Share Hone Wala Data Ko Control Kaise Kare
1. Iske liye aapko apne mobile ki Settings me jakar Hotspot setting tak aa jana hai.
2. Jab Hotspot setting open hogi to aapke samne kuch ish parkar ke option aa jayenge.
3. Yaha aapko One-time mobile data usage limit par click krna hai.
4. Uske baad aap apne hisab se set kar skte hai ki aap ek baar hotspot se kitna data share krna chahte hai. Jaise ki agar yaha aap 500MB set krte hai to jab aapke mobile hotspot se 500mb data share ho jayega to aapke phone me apne aap hi hotspot band ho jayega aur jitne bhi device aapke hotspot se connected the wo sare disconnect ho jayenge.
FAQ Related Hotspot Data Sharing
Kya Ham Hotspot Internet Par Limit Lga Sakte Hai ?
Hotspot se share kiye jane wale internet data par limit lagai ja sakti hai. Iske liye Hotspot settings me One-time mobile data usage limit ka option hota hai, usko madad se aap aisa kar sakte hai.
Hotspot Data Sharing Par Limit Kaise Lgaye ?
Mobile ki hotspot settings me jakar One Time Mobile Data Usage Limit option ki madad se hotspot data sharing par limit lagai ja sakti hai.
Kya Hum Hotspot Internet Ki Speed Kam/Jyada Kar Sakte Hai ?
Agar aapke android phone me Bandwidth Usage ka option hai to aap hotspot se share hone wale internet ki speed control kar sakte hai.
Ye Bhi Pade...
To friends aapko ye post
Hotspot Se Share Kiye Jane Wale Internet Data Ki Speed Control Kaise Kre kaisi lgi comment krke jarur btaya aur post achhi lge to apne friends ke sath bhi share kre.
Tags:- how to limit hotspot data usage in android phone,
2 टिप्पणियाँ
hlo
जवाब देंहटाएंAur jiske mobile me ye option nhi hai vo kya kare aur kaise control kare. Plz help me.
जवाब देंहटाएं