Android Mobile Ki Top 5 Tricks Jo Aapko Pta Honi Chahiye

Android Mobile Top 5 Secret Tricks:-  Hello readers World ke jyadatar log android mobile hi use krte h kyunki iske ander bahut sare entertaining features hote h aur android mobile aise bahut se kaam kar skta h jo pahle sirf ek laptop ya computer kar skta tha.

Android mobile me bahut sare features hote h to aaj hum unhi features ki Top 5 tricks ke bare me baat krenge. Ye tricks android mobile ke sath aapke experience ko aur achha bnayegi.

Android Mobile Ki Top 5 Tricks Jo Aapko Pta Honi Chahiye


1. Photo by Earphone

Kya aap jante h ki aap apne mobile me earphone se photo capture bhi kar skte h, ager nhi to aaj hum aapko btayenge ki earphone se photo kaise lete h.

Earphone se image lene ke liye aapko jyada kuch nhi krna h bus apne earphone ko mobile se connect krna h aur mobile ka camera on krna h, ab photo click krne ke liye earphone ke play/pause wale batan ko dbana h. Aap volume up/down wale batan se zoom bhi kar skte h. Yaha par me aapko ek baat bta du ki ye trick sabhi earphones me work nhi krti h.

2. Screenshot

Android mobile ki top 5 tricks me se ek h screenshot. Kya aapko apne mobile me screenshot lena aata h ? ager ha to achhi baat h, aur ager nhi to koi baat nhi kyunki aaj hum aapko btayenge ki mobile me screenshot kaise lete h.

Screenshot lene ke bare me jan ne se pahle hum ye jan lete h ki screenshot kya hota h ? Screenshot matlab aap ke mobile ki screen par jo bhi chal rha ho uski photo click krna.

android mobile ki top 5 tips and tricks, android mobile ki top 5 secret settings, smartphone ke top 5 hidden features in hindi

Jaisa ki aap image me dekh skte h ki mene apne mobile ke main menu ka screenshot liya h. Ye trick aapke liye bahut helpful ho skti h, ish liye ye aapko pta honi chahiye.

Screenshot lene ke liye aapko bus apne mobile ki power key aur volume down key ko 2 second tak dabakar rkhna h. Samsung user screenshot lene ke liye home key aur volume down key ko 2 second tak dabakar rkhe.

3. Text Copy Aur Paste

Aapko Mobile me kisi bhi text ko copy aur paste krna aana chahiye, text copy kar ke paste krne se aapka baar baar typing me barbaad hone wala time bach jayega. Ager aapko text copy paste krna nhi aata h to koi baat nhi aaj aap ye bhi jan jayenge.

To chaliye jante h ki mobile me kisi bhi text ko copy paste kaise krte h. Ager aapko apne mobile me whatsapp massanger se koi sms copy kar ke paste krna ho to jis sms ko copy krna h ushe 1 second ke liye dabakar rkhe, phir upper aapko ush sms ko copy krne ka icon dikhai dega us par click kre de. Bus ab wo sms copy ho chuka h, ab aapko jaha wo paste krna h wnha par kar skte.

Paste krne ke liye aapko massage box me knhi par bhi screen ko dabakar rakhna h, phir aapko paste ka option dikhai dega ush par click krte hi massage box me wo text paste ho jayega, ab aap chahe to ushe edit bhi kar skte h.

Ager aapko whatsapp ke alwa knhi aur se text copy krna h to jis bhi text ko copy krna h wnha par screen ko press krke rkhe, phir aapko select text ya copy krne ka option dikhai dega, ush par click kre. Screen ko press krke rakhne per aapko sida text ko select krne ka bhi option mil skta h.

mobile me text copy kaise kare

Aap image me dekh skte h ki text ko kaise copy krna h. Jo bhi text blue line me h wo muje copy krna h. Aap apne hisab se text select kar le. Jab pura text select ho jaye to select ya copy ka option hoga ush par click kre. Phir wo text copy ho jayega, ab aap jaha chahe wnha wo text paste kar skte hai.

4. Tethering Portable Hotspot

Waise to hotspot ke bare me bahut se log jante h par abhi bhi kai user aise h jo iske bare me nhi jante. Ager aap bhi unhi me se h to koi baat nhi, aaj hum ish post me aapko hotspot ke bare me fully guide krenge.

Sabse pahle hum jan lete h ki Tethering portable hotspot kya hota h ?

Tethering portable hotspot se hum apne internet data ko apne friends ke sath share kar skte h. Matlab hotspot se hum ek mobile ke internet data ko dusre mobiles par share kar skte h aur un me bhi internet chla skte h.

Hotspot se internet share krne ke liye aapko sabse pahle jis mobile me internet h uska data conection on karna h. Phir ush mobile ki
Settings
More/More Settings
Tethering Portable Hotspot
aur phir Wifi Hotspot me jana h.
Aur phir aapko wifi hotspot on krna h.

Wi-Fi hotspot on krne ke baad 'Set up Wi Fi Hotspot' par click kar ke aap apne hisab se WiFi hotspot ke password set kar le.

hotspot ke password kaise se kare

Password set krne ke baad aap ek baar phir se chack kar le ki hotspot on h ya off.
Kyunki kai baar password set krne ke baad ye automatic off ho jata h. Ager off ho gya ho to aap wapas on kar le.

Ab jis mobile ko aap connect kar ke usme internet chlana chahte h ush mobile me wifi on kar le. Aur phir wifi setting me jakar ush mobile ke name par click kre. Uske baad password dal kar ush mobile ko hotspot se connect kar le. Bus ab aapka dusra mobile hotspot se connect ho chuka h. Ab aap usme bhi internet chla skte hai.

Must Read:-

5. Data Limit

Aap ko apne mobile me data limit set krni aani chahiye. Taki jab bhi aapka data pack khatam hone wala ho to aapko pta chal jaye aur aapka main balance ktne se bach jaye.
Data limit aap Setting & Data Usages me jakar set kar skte h.

internet data  usages se kare

Aap image me dekh skte ki yaha par kaise data limit set ki gayi h.

Yellow colour ki jo line h ush se aapko limit set krni h. Jaise ki maan lijiye ki aapke mobile me 500MB hai to aap 450 MB par hi limit set kar le. Ab jab bhi aapke mobile me se 450 MB khatam hone wali hogi to aapke mobile me baar baar massage show hoga ki aap ka data khatam hone wala h.

Ish se aapko sahi samay par aapke internet data ke khatam hone ke bare me pta chal jayega aur aapka main balance ktne se bach jayega.

Friends ager aapko ye post achhi lge to niche social sharing icon par click kar ke ishe apne friends ke sath bhi share kre.

Tags:- android mobile ki top 5 tips and tricks, android mobile ki top 5 secret settings, smartphone ke top 5 hidden features in hindi

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ