How To Link Aadhar Card With Mobile Number ?
Friends jaisa ki aap sabhi jante hai ki bhartiye government ke new rules ke anusar ab aadhar card ko sabhi bank accounts, pan cards aur telecom companies ke sath jodna ya link karwana compulsory hai.Ish liye ager aapne ab tak apne aadhar card ko bank account, pan card aur phone numbers yani ki sim card se link nhi karwaya hai to turant karwa le. Kyunki aisa na karne par aapka bank account, pan card ya sim card block (band) ho skte hai.
Bank account aur pan card ko aadhar card se kaise link karte hai ? iske bare me main aapko apni pichhli posts me bta chukka hun. Ager aapne abhi tak unhe aadhar card se link nhi kiya hai to abhi ye posts padhe.
Aadhar Card Ko Phone Number Se Link Krne Se Relative Kuch Sawal:-
1. Aadhar Card Ko Sim Card Se Link Karne Ki Last Date Kya Hai ?
Ans. 31 March
2. Kya Hum Ghar Baithe Aadhar Card Ko Phone Number Se Link Kar Skte Hai ?
Ans. Yes
3. Kya Hum Airtel Number Ko Aadhar Se Link Kar Skte Hai ?
Ans. Yes, na sirf airtel number balki Vodafone, idea ke numbers ko bhi kar skte hai.
4. Kya Phone Number Ko Aadhar Se Link Krne Ke Liye Internet Ki Jarurat Hai ?
Ans, Nhi, iske liye internet ki koi jarurat nhi hai. Aap feature phone se bhi ye sab kar skte hai.
5. Kya Phone Ko Aadhar Se Link Krne Ke Kuch Paise Lgenge ?
Ans. Nhi, yaha btaye gye trike se aap free me apne aadhar ko phone number se link kar skte hai.
6. Phone Number Ko Aadhar Card Se Link Krne Ke Liye Kin Kin Chijo Ki Jarurat Hogi ?
Ans. Sirf aadhar card se registered phone number ki, jo ki aapke pass hona chahiye.
7. To Phone Number Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare ?
Ans. Step follow kare.
Step:- 1
Step:- 2
Call par computerized aawaj sunai degi. Wo aapko jo instructions de, unhe dhyan se sune aur follow kare.
Step:- 3
Jab aadhar number dalne ko kaha jaye to apne 12 digit aadhar number dale aur confirm krne ke liye kaha jaye tab confirm bhi kare.
Step:- 4
Uske baad aapke aadhar card se registered number par ek OTP aayega aage wo type kar de aur confirm bhi kar de.
Bas uske 48 hours ke ander ander aapka aadhar card aapke mobile number se link ho jayega aur iski jankari aapko SMS ke dwara de di jayegi.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne aadhar card ko apne sabhi mobile numbers se link kar skte hai. Ager aapko ish me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
Friends ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.
1 टिप्पणियाँ
Nice information..
जवाब देंहटाएं