Import/ Export Option Ke Bina Contact Numbers Ko Gmail ID Me Save Kaise Kare

How to save contact numbers in gmail account without import/ export option ?

Friends pichhli post me mene aapko btaya tha ki gmail id ke ander contact numbers ko save kaise karte hai ? Par ush trike se gmail id ke ander mobile numbers ko save krne me kuch dosto ko problem aa rhi hai. kyunki unke mobiles me import/export ka option hi nhi hai ya unke mobile me contact numbers mark nhi ho rhe hai. Ish liye wo gmail id me apne contacts numbers ko save nhi kar pa rhe hai.

Import/Export Option Ke Bina Contact Numbers Ko Gmail ID Me Save Kaise Kare

Aisa alag alag mobile companies ki wjah se hota hai. Kyunki sabhi mobile companies me ye options alag alag trike se hote hai ya kuch android mobiles me contact numbers ko import/export krne ka option hota hi nhi hai, jaise MI, HTC etc.

Ager aapke pass bhi kuch ishi trah ka phone hai aur ish karan aap ab tak gmail id ke ander apne contact numbers ko save nhi kar paye hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki isme me main aapko ek aisa trika btauga jis se aap import option ke bina bhi apne sabhi phone numbers ko gmail id ke under save kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...


Import/ Export Option Ke Bina Contact Numbers Ko Gmail ID Me Save Kaise Kare

To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye aapko iske bare me bta dete hai. Friends iske bare me batane se pahle me aapse kehna chahunga ki ish post ko dhyan se aur last tak jarur padhe. Kyunki tabhi aap apne sabhi contacts ko successfully gmail me save kar payenge. Ager aap aisa nhi krenge to aapko contact numbers ko gmail me save krne me problem aa skti hai.

Friends iske bare me batane se pahle me aapko bta dena chahunga ki ager aap sim card me add phone numbers ko gmail me copy karna chahte hai to iska alag trika hai aur ager aap phone storage me add contacts ko gmail me save ya copy krna chahte hai to iska thoda alag trika hai.

Main aapko dono trike btauga. Sabse pahle me aapko sim card ke contact numbers ko gmail me copy ya save krne ke bare me bta deta hu, uske baad phone storage ke bare me bhi bta dunga.


To iske liye humne kuch steps btaye hai aapko inhe follow krna hai.

1. Sabse pahle aapko Yaha Click Karke ke play store se ek application download krni hogi. Iska app ka naam ‘Contacts’ hai. Ye google ki hi app hai.

Ish application me hume phone me add contact numbers to dikhai denge hi, sath hi isme me hum apni gmail id me add contact number bhi dekh skte hai.

2. Ish application ko download krne ke baad ishe open kare. Ager aapne phone me pahle se gmail id ko log in nhi kar rkha hoga to pahle aapko sign in krne ke liye kaha jayega, to aap sign in kar le, aur ager aapne account ko pahle se sign kar rkha hoga to aage aisa page open ho jayega.


3. Yaha par sabse pahle aapko upper left corner me 3 lines par click karna hai. Uske baad aisa page open hoga.


4. Yaha par aapko ‘Settings’ par click karna hai. Uske baad aapko kuch options mil jayenge.


Yaha par aapko ‘Import’ par click karna hai. Uske baad ager aapke mobile me 2 sim card hai to aapse puchha jayega ki aap konsi sim card ke contacts ko import karna chahte hai. Tab aap apne hisab se sim select kar le.

5. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha par sabse upper aapko wo email id dikhai degi, jisme contact numbers save hone wale honge, aur uske niche sim card me add sare ke sare phone numbers honge. Inme se aap jin jin ko gmail me copy karna chahte hai, unhe mark kar le, aur uske baad ‘Import’ par click kar de.

Import par click karne ke baad wo sabhi contacts jo aapne mark kiye the wo gmail id me copy ho jayenge. Aap check kar skte hai.

Note:- ager contacts jyada ho to unhe copy hone me thoda time lag skta hai ish liye aap thoda wait kare aur uske baad check kare.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se ager aapke mobile me import/export ka option nhi hai tab bhi aap apne sabhi phone numbers ko gmail id me save kar skte hai. Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Mobile Me Contacts App Me Import/Export Option Kaise Laye ?

Aap google ki Contacts app install kar lijiye usme aapko ye option mil jayega.

Mobile Me Contacts Import/Export Option Ka Milega ?

Contacts app me hi aapko ye option kahi na kahi mil jayega, aap achhe se check kare.

Agar Contacts Import/Export Ka Option Na Ho To Kya Kare ?

Aap google ki Contacts app download kar sakte hai usme ye option aata hai.


Friends ager aapko ye jankari Import/Export Option Ke Bina Contact Numbers Ko Gmail ID Me Save Kaise Kare achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath share jarur kare, aur ager aap aisi hi jankariya free me apne mail box me pana chahte hai to abhi Dainiktricks ko subscribe jarur kare.

import/ export contacts to gmail id, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ