How to Delete Facebook Account Permanently ?
Friends ager aap apne facebook account ko hmesha ke liye delete karna chahte hai to ish post ko last jarur padhe, kyunki aaj hum ishi bare me baat karne wale hai.But ush se pahle hum ye janne ki kosis karte hai ki aakhir hume facebook account ko delete karne ki jarurat kyun padti hai. To friends iske liye sabhi ke apne apne reasons hote hai. Kuch logo ki facebook par ek se jyada id's hote hai ish liye wo apni ek id ko delete karna chate hai to kuch facebook notifications se preshan hokar aur kuch facebook par bahut jyada time spend karne lag jate hai ish liye apne time ko bachane ke liye wo apni id ko delete karna chahte hai.
Reason chahe jo bhi ho but main point facebook id ko delete karna hota hai. Ish liye ish post me hum aapko iske bare me details se btauga.
Ye Bhi Padhe...
Friends ho skta hai ki ish se pahle bhi aapne apne account ko delete karne ki kosis ki ho aur aap aisa nhi kar paye ho, aap aisa kyun nhi kar paye, iska karan bhi main aapko ish post me btauga.
To chaliye abhi jyada time waste na karte huye hum sida topic par aate hai aur iske bare me baat karte hai. But ush se pahle main aapse ek sawal puchhna chauga ki aap apne facebook account ko sirf deactivate karna chahte hai ya hmesha ke liye delete karna chahte hai ?
Account Deactivate Aur Permanently Delete Me Kya Deference Hai ?
Friends ager aap apne facebook account ko deactivate karte hai to facebook par koi bhi person aapko aur aapke data jaise photos, videos and other posts ko nhi dekh pata hai. Aap aisa samjh skte hai ki aap ek trah se facebook se gayab ho jate hai. Lekin sirf tab tak jab tak aap apne account ko phir se log in nhi karte hai.
Ager facebook account ko deactivate karne ke baad aap ushe wapas log in kar lete hai to aapka facebook account phir se active ho jata hai aur phir facebook par wapas koi bhi person aapko aur aapke data ko dekh skta hai. Ager aapne kabhi apne account ko deactivate kiya hoga to aap ye jarur jante honge.
Ye Bhi Padhe...
Lekin ager aap apne facebook account ko permanently delete karte hai to aapka account facebook se hmesha ke liye delete ho jata hai. Uske baad ager aap phir apne account ko log in karne ki kosis karte hai tab bhi account recover nhi hota hai.
Ager aapne pahle kabhi apne account ko delete karne ki kosis ki hai aur wo delete nhi hua hai to iska matlab yahi hai ki aapne ushe delete nhi kiya tha balki deactivate kiya hai.
To ummid karta hu ki abhi aap deactivate aur permanently delete ke bich ka deference samjh gye honge. Abhi main ye maan kar chal rha hu ki aapko facebook account ko deactivate karna aata hai ish liye abhi main aapko facebook account ko hmesha ke liye permanently delete karne ke bare me bta deta hu.
Facebook Account Ko Permanently Delete Kaise Karte Hai
Ager aap apne facebook account ko deactivate karna chahte hai to Facebook Settings>Account Settings>General>Manage Account par jakar apne account ko deactivate kar skte hai.Facebook account ko permanently delete karne ke liye sabse pahle aapko yaha https://m.facebook.com/help/delete_account?refid=69 ish link par click karna hai. Uske baad ager aapne apne browser me facebook me pahle se log in nhi kar rkha hoga to pahle aapko log in karne ke liye kaha jayega. Log in krne ke baad aapke samne aisa page open ho jayega.
Yaha 'Delete Account' option select krke Continue to account deletion option par click kare. Uske baad aisa page open hoga.
Yaha par aapko apne password dalne hai aur Submit par click karna hai. Uske baad aage ek page open hoga jisme likha hoga ki aapka account facebook se deactivate kar diya gya hai aur next 14 days ke baad aapka account facebook se hmesha ke liye delete kar diya jayega. Ager aap apne account ko phir se active karna chahe to in 14 days ke ander ander kar skte hai.
Ager aap apne facebook account ko hmesha ke liye delete karne ke baad in 14 days me wapas recover karna chahe to kar skte hai. Iske liye aapko facebook ke ander log in karna hai. Log in karne ke baad aapke samne aisa page open ho jayega.
Apne account ko wapas active karne ke liye aapko Cancel Deletion par click karna hai. Deletion cancel karte hi aapka account phir se active ho jayega.
FAQ
Facebook Account Humesha Ke Liye Delete Krne Ke Liye Kya Krna Hoga ?
Aap ish article me btaye gye steps follow karke bahut hi aasani se apne facebook account ko humesha ke liye delete kar sakte hai.
Purana Facebook Account Kaise Delete Karte Hai ?
Agar aapko apne purane facebook account ke id password pta hai to yaha btaye gye trike se aap ush purane account ko delete kar sakte hai.
Facebook Account Delete Karne Ka Sabse Aasan Trika Kya Hai ?
Aap ish link par click kare https://m.facebook.com/help/delete_account?refid=69 uske baad apni facebook id login kare aapko direct account delete krne ka option mil jayega.
Facebook Account Delete Karne Ka Option Kaha Milega ?
Aap ish article me diye gye link ki madad se direct apne facebook account ko delete kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe...To ish trike se aap apne facebook account ko hmesha ke liye delete kar skte hai hai aur delete karne ke 14 days ke ander ander wapas active bhi kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai. Aur ager aapko ye jankari facebook account ko humesha ke liye delete kaise kare ? achhi lge to aap humari website ko subscribe kar skte hai taki future me hum jo bhi post publish kare wo aapke email inbox me pahuch jaye.
4 टिप्पणियाँ
thank you sir, pahle mene apne account ko deactivate hi kiya tha ish liye wo delete nhi tha. muje samjjh nhi aa rha tha ki mera account delete kyun nhi hua. but abhi muje samjh me aa gya hai. thank you sir
जवाब देंहटाएंThanks for your valuable comment
जवाब देंहटाएंnice post aapne achi jankari share ki hai
जवाब देंहटाएंThanks Dilip Ji and Umeda Khan Ji
जवाब देंहटाएं