Android Mobile Me Kisi Bhi App Ka Icon Aur Naam Kaise Change Kare

How to change app icons in android mobile:- Aaj ish post me main aapko btauga ki apne android mobile me se kisi bhi application ka icon aur naam kaise change karte hai, ish liye ager aapko iske bare me janna hai to ish post ko last tak jarur padhe.

How to change icon and name of any application in android mobile

Friends hum sabhi apne mobile me bahut sari applications install karke rkhte hai, jinme se kuch applications aisi bhi hoti hai jo hum kisi aur ko dikhana nhi chahte, to ush time humare man me ye khayal aata hai ki Kya ham mobile me app ka naam aur icon badal skte hai ? 

Aapko jankar khushi hogi ki ham aisa kar skte hai. Yaha ham aapko jo trick bta rhe hai ush trick ko use karke aap kisi bhi app ka icon aur naam change kar skte hai taki icon ya naam dekhne se kisi bhi person ko ush app ke bare me pta na chle. To chliye abhi me aapko iske bare me bta deta hu.

Ye Bhi Padhe...

Note:- Friends aap jis bhi application ka naam ya icon change karenge ush application ka naam ya icon sirf aapke mobile ki home screen par jo ush app ki copy hogi sirf ushi me change hoga.

Ye Bhi Padhe...

Android Mobile Me Kisi Bhi App Ka Icon Aur Naam Kaise Change Kare


Android mobile me kisi bhi app ka icon ya naam change karne ke liye sabse pahle aapko play store se ek app download karna hoga, jiska naam Icon Changer hai.

Aapko ye app play store par aasani se mil jayega. Icon Changer Ko Abhi Download Krane Ke Liye Yaha Click Kare. 

App icon change krne wala app download karne ke baad aapko simply ishe open karna hai. Jab aap ishe open karenge to iske home page par aapko aapke mobile me installed sabhi apps mil jayenge, aapko jis app ka icon ya naam change karna hai, aapko wo select karna hai.

Application select karne ke baad aapke samne aisa page open ho jayega.

App editing page in icon change

1. Yaha click karke aap ush app ka icon change kar skte hai. Ager aap chahe to gallery se koi photo select karke, ushe bhi app ka icon bna skte hai.

2. Yaha se aap ush app ka naam change kar skte hai.

3. Icon aur naam change karne ke baad aapko yaha click kar dena hai.

Ye Bhi Padhe...

Ok par click karne ke kuch seconds baad aap mobile ki home screen par dekh payenge ki ush application ka icon aur naam, jo bhi aapne change kiya tha wo change ho jayega.

FAQ Related to App Icon Change


Kya Ham Mobile Me App Ka Naam Aur Icon Badal Skte Hai ? 

Icon Changer app ki madad se android phone me kisi bhi app ka icon aur naam change krke uska ek shortcut mobile home screen par lgaya ja sakta hai. 


Mobile Me App Icon Change Krne Wala App Konsa Hai ?

Icon Changer app ki madad se mobile me install kisi bhi app ka icon aur naam change Kiya ja sakta hai.


Kya Ham App Icon Ki Jagah Apni Photo Lga Sakte Hai ?

Ji Haa, App Icon Changer app ki madad se aap kisi bhi app ke icon ki jagah apni khud ki photo lga sakte hai 


To ish trike se aap apne mobile me kisi bhi app ka icon ya naam change kar skte hai. Ager aapko ish app ko use karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ