Whatsapp Par Galti Se Send Massages Ko Wapas Kaise Bulaye

How to delete sent messages from both side on whatsapp:- Aaj ish post me main aapko whatsapp ke ush new feature ke bare me batane wala hu, jiska aapko aur baki sabhi whatsapp users ko kaphi lambe samay se intjaar tha. Aur wo feature ye hai ki abhi aap whatsapp par send kiye gye kisi bhi massage ko recall kar skte hai.

Recall ka matlab hai ki abhi aap whatsapp par send kiye gye kisi bhi massage ko wapas bula skte hai. Ya maan lijiye ki whatsapp par aapse kisi person ko galti se koi aisa massage send ho jata hai jo aap ushe send karna nhi chahte the to abhi aap ush massage ko wapas bula skte hai ya recall kar skte hai ya uske mobile se delete kar skte hai.

Whatsapp Par Galti Se Send Huye Massages Ko Wapas Kaise Bulaye

Maan lijiye ki ager samne wala person ush massage ko read bhi kar le tab bhi aap ish feature ki madad se apne mobile se hi ush person ke mobile me se wo massage delete kar skte hai jo aapne galti se send kar diya tha.

To friends hai na ye ek bahut hi kamaal ka feature, chliye abhi main aapko bta deta hu ki hum ishe kaise use kar skte hai. 

Whatsapp Par Galti Se Send Massages Ko Wapas Kaise Bulaye


Whatsapp me ish feature ko use karne ke liye sabse pahle aapko play store se whatsapp ka beta version download karna hai. ager aapko beta version download karna nhi aata hai to ye post padhe.


Beta version download karne ke baad aapko simply whatsapp me ush massage ko mark karna hai jise aap delete karna chate hai aur upper delete icon par click karna hai, jaise hi aap delete icon par click karenge to aapke samne aisa page open ho jayega.

Whatsapp Par Galti Se Send Huye Massages Ko Wapas Kaise Bulaye

Yaha par ager aap ush massage ko wapas bulana chahte hai ya ush person ke mobile me se bhi usko delete karna chahte hai jisko aapne wo send kiya hai to iske liye aapko 'Delete For Everyone' par click karna hai, uske baad wo massage whatsapp se delete ho jayega aur koi bhi ush massage ko nhi dekh payega.

Lekin aap ush massage ko tabhi delete kar skte hai jab ush massage ko send kiye huye 2 din se jyada samay na hua ho, ager massage ko send kiye huye 2 din se jyada samay ho gya hai to aap ush massage ko delete nhi kar skte, ish liye ish baat ko dhyan me rakhe.

To ish trike se aap official yani ki normal whatsapp me galti se send kiye gye massages ko wapas delete kar skte hai,

FAQ

Whatsapp Message Delete For Everyone Karne Ki Time Limit Kya Hai ?

Message send krne baad 2 din ke andar andar aap message ko delete for everyone kar sakte hai.

Whatsapp Message Delete For Everyone Kitne Der Tak Kar Sakte Hai ?

Whatsapp ke new update ke baad message send karne ke baad aapke pass 2 din ka samay hota hai ushe delete for everyone karne ke liye.

Whatsapp Message Wapas Kaise Laye ? 2024

Whatsapp delete for everyone option ki madad se aap send ho chuke message ko wapas la sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se whatsapp par galti se send hoye massages ko wapas bula skte hai ya delete kar skte hai. Ager aapko ish trike se whatsapp massages ko recall karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

To friends ummid karta hu ki ye jankari aapke liye helpful rhi hogi. Ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath bhi share kare aur ager aapko aisi hi posts free me apne mail box me chahiye to aap niche apne email id dal kar Dainiktricks ko subscribe kar skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ