How to block ads in android mobile ? Android me ads ko block kaise kare ? Ager aapka sawal bhi kuch ishi trah ka hai to uska jawab aapko ish post me mil jayega. Kyunki ish post me main aapko ek aise app ke bare me btauga, jiski madad se aap apne mobile me installed apps ke ads to block kar hi payenge, sath hi internet browsers jaise chrome, uc, firefox, dolphin me bhi kisi bhi site ke ads block kar payenge.
Friends sabhi android users jo apne mobile me internet use karte hai aur naye naye apps apne mobile me install karte hai, wo mobile me aane wale ads se bahut jyada preshan rehte hai. Ager aap bhi unhi me se ek hai to aaj aapki problem ka solution mil gya hai. Ish liye ish post ko last tak jarur padhe.
Friends ish post me main aapko ek aise app ke bare me btauga jis ki madad se aap apne mobile se application ads ko to block kar hi payenge, sath hi mobile browsers me aane wale ads ko bhi block kar payenge.
Friends ish post me main aapko ek aise app ke bare me btauga jis ki madad se aap apne mobile se application ads ko to block kar hi payenge, sath hi mobile browsers me aane wale ads ko bhi block kar payenge.
Android Mobile Me Application Ads Ko Block Kaise Kare
To chliye ab hum ush app ke bare me baat kar lete hai, jiski madad se hum aisa kar skte hai. Friends ush app ka naam 'Block This' hai. Ye app aapko play store par nhi milega, ish liye aap ishe block-this.com ki site par jakar ya yaha Download par click karke ish app ko download kar skte hai.
Block This Application ko download karne ke baad aapko simple ishe open karna hai. Open karne par iska interface kuch ish trah se open ho jayega.
Yaha par aapko play icon par click karna hai. Icon par click karne ke baad ye app aapse kuch permission mangega, so aap 'OK' karke, ishe permission de de. Uske baad ye app enable ho jayega aur uske baad aapke mobile me kisi bhi type ke ads show nhi honge. Aap freely apne mobile me kisi bhi app ya browser ko use kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne android mobile se applications aur browser ads ko block kar skte hai. To friends ummid karta hu ki ye post aapke liye helpful rahi hogi.
FAQ
Android Mobile Ke Liye Sabse Best Ads Blocker Konsa Hai ?
Block This app mobile me ads block karne ke liye kafi achha hai.
Mobile Me Ads Block Kaise Kar Sakte Hai ? 2024
Aap kisi ads blocker ka istemal karke apne phone me ads ko block kar sakte hai.
Mobile Me Ads Bahut Aate Hai Kya Kare ?
Aap kisi ad blocker ko install kar lijiye fir aapke phone me ek bhi ad nahi aayega.
Kya Ads Blocker Safe Hai ?
Jyadatar ads blocker ekdum safe hai unhe use karne me koi problem nahi hai.
Ager aapko humari posts free me apne mail box me chahiye to aap niche apni email id dalkar dainiktricks ko subscribe kar skte hai. Subscribe karne ke baad jab bhi hum new post publish karenge wo aapke mail box me aa jayegi.
Tags:- how to remove ads from phone in hindi, how to block ads in apps, best ad blocker for android, how to stop pop-up ads on android phone, how to block ads on android with dns
1 टिप्पणियाँ
thanks for this information
जवाब देंहटाएं