Youtube Video Ke End Me Dusre Videos Ke Links Kaise Add Kare

Friends ager aap ek youtuber hai aur apne youtube videos ke end me apne dusre videos ke link add karna chahte hai to ish post ko last tak padhiyega kyunki aaj ish post me main aapko ishi ke bare me btane wala hun.

Friends aapne youtube par video dekhte time kai baar dekha hoga ki kisi kisi video ke last me jab wo pura hone wala hota hai tab ushi channel ke 3,4 videos title aur thumbnail ke sath ush video ke upper aa jate hai. Taki ager ko viewer un videos me bhi intrested ho to unhe bhi dekh le. Ish se fayda ye hota hai ki wo viewer ushi channel ke videos baar baar dekhta hai jis se ush channel par views aur watch minutes increase hoti hai.

Ager aap bhi ushi tarh se apne youtube videos ke end me apne dusre videos ke link add karna chahe to kar skte hai. Iske liye humne kuch steps btaye hai, unhe follow kare.

Youtube Video Ke End Me Dusre Videos Ke Links Kaise Add Kare


Step:- 1
Sabse pahle aapko apne mobile ya pc ke chrome browser me youtube.com par jana hai aur apni gamil id aur password dal kar sign in krna hai. Ager aap mobile use kar rahe hai to browser me site ka desktop mode enable kar le.

Uske baad youtube ka home page kuch ish trah se open ho jayega.

Youtube Video Ke End Me Dusre Videos Ke Links Kaise Add Kare

Ynha par aapko apni profile photo par click karna hai, uske baad aapko 'Creator Studio' ka option milega, ush par click karna hai.

Step:- 2
Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko 'Video Manager' par click karna hai.

Step:- 3
Uske baad aisa page open hoga.


Ynha youtube par aapke dwara upload kiye gye sabhi videos aa jayegnge. Aapko jis video ke end me dusre videos ke link add karne hai uske niche jo edit ka option hai, ush par click kare.

Step:-4
Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par aapko 'End Screen & Annotations' par click karna hai.

Step:- 5
Uske baad aisa page open hoga.


1. Ynha par aapko sabse pahle apne video ko play karke wapas pause karna hai, taki 'Add Element' ka option enable ho jaye.

2. Aap un videos ke links ko video ke end me knha show karwana chahte hai. Ye aap ynha se control kar skte hai.

3. Uske baad aapko ynha Add Element par click karna hai.

Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko kai option milenge, hume apne video ke end me dusre videos ke links add karne hai ish liye 'Video and Playlist' ke samne jo create ka option hai, ush par click kare.

Step:- 6
Uske baad aisa page open ho jayega.


1. Ynha par aap konse videos ke links add karna chahte hai, wo select kare. ager aap manually videos ke links add karna chahte to 'Choose a video or Playlist' par click kar de.

2. Uske baad aapke dwara upload kiye gye sabhi videos aapke samne aa jayenge, aapko jiska link add karna ho, ushe select kar le.

3. Uske baad 'Create Element' par click kar de.

Step:- 7
Uske baad aisa page open ho jayega.


1. Ynha se aap ush video ko drag karke jnha set krna chahe wnha kar skte hai.

2. Ynha click karke aap ishi trah se aur videos ke links add kar skte hai.

3. Jab aap sabhi videos ke link add kar le to last me save par click kar de.

Ye Bhi Padhe...

Save par click karte hi ush video ke end aapke dwara select kiye hue videos ke links add ho jayenge. Aap chahe to ush video ko play karke dekh skte hai.

To friends ummid karta hu ki ye post aapke liye helpful rahi hogi ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ