Youtube Par Video Upload Kaise Kare ? 100% Sahi Trika

Chrome Browser Me Youtube Video Kaise Upload Kare ?

Ager aap ek new youtuber hai aur youtube par bahut mehnat krne ke baad bhi aapke videos par views nhi aa rhe hai to ye article aapke liye bahut helpful hone wala hai. Kyunki ish article me hum aapko youtube par video upload krne ka ek aisa trika btayenge, jisse aapke video par jyada se jyada views aayenge.

But ush se pahle jin dosto ko youtube ke bare me jyada jankari nhi hai, unhe mai btana chahunga ki aap youtube par video upload krke paise kma skte hai.

Youtube Se Paise Kaise Kmaye ?

Iske liye aapko sabse pahle to youtube par apna ek channel bnana hoga. Ager aapko channel bnana nhi aata to pahle ye post padhe.


Channel bnane ke baad aapko apne channel par videos upload krne hai. Jab aapke videos apr achhe khase views aane lag jayenge to aap apne youtube videos se paise kma skte hai. But ush se pahle aapko youtube ki 2 conditions puri krni hogi. Iske bare me humne Youtube Ke Bare Me Puri Jankari ish post me details se btaya hai aap ye post pdh skte hai.

Ish post me hum youtube par video upload kaise krte hai, ya youtube par video upload krne ka sahi trika konsa hai ? Iske bare me baat krenge.

Youtube Par Video Upload Kaise Kare ? 100% Sahi Trika

Friends aap chahe apne mobile se videos upload kro ya ek pc se, ish bhi koi fark nhi padta. Lekin ager aap apne mobile se videos upload krte hai to aapko ek baat par thoda dhyan dena hota hai, wo ye ki aap jab bhi youtube par new video upload kare to mobile ki Youtube app se na kre. Balki chrome browser me jakar upload kre.

Aap soch rhe honge ki me aisa kyun bol rha hun. To friends mai aapko btana chahunga ki jab hum mobile ki youtube application se video upload krte hai to hume sirf video ka Title aur Description likhne ka option milta hai. Jabki ager hum chrome browser se youtube par video upload kre to hume aise bahut se options mil jate hai jo ush app me nhi milte hai. Inke bare me mai abhi aapko niche btane wala hu.

To chliye abhi mai aapko bta deta hu ki chrome browser me youtube videos kaise upload krte hai ? Iske liye humne niche kuch steps btaye hai, unhe follow kare.


1. Sabse pahle apne mobile me chrome browser open kare.

2. Uske baad chrome browser me youtube ki website par jaye.

3. Uske baad youtube website ka mobile version aapke samne open ho jayega. Par hume youtube website ka desktop version open krna hoga. Kyunki youtube site ke mobile version se hum video upload nhi kar skte hai. Ish aapko chrome browser me desktop mode enable krna hoga.

Chrome browser me desktop mode enable kr e ke liye aapko upper 3 dots par click krna hai. Uske baad aapko 'Desktop Mode' ka ek option milega uske samne wale box par click kar de. Desktop mode on ho jayega.

Ager aapko chrome browser me desktop mode enable krne ke bare me detail se janna chahe to ye post pdhe.


4. Desktop mode enable krne ke baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha aapko Upload icon par click krna hai. Ager aapne chrome browser me apni gmail id login nhi kar rkhi hogi to pahle aapko youtube me log in krne ke liye kaha jayega. So aap apni gmail id aur password dal kar log in kar le.

5. Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par aapko Upload icon par click krna hai aur apne mobile ya pc se wo video select krna hai jise aap upload krna chahte hai.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.


Friends ynha par aap dekhenge ki aapko bahut sare options milenge. Ynha par me aapko sirf jaruri options ke bare me bta rha hu.

1. Ynha par aap dekh payenge ki aapka video kitne percent upload hua hai.

2. Ynha video ka title likhe.

3. Ynha video ka description likhna hai, aapka video jis topic se related hai, uske bare me aap ynha likh skte hai.

4. Ynha par aapko apne video ke Tags likhne. Aapka video jis topic par hai, ush se relative kuch words aapko ynha likhne hai, her tag ke baad ( , ) comma ka use kre.

Tags Example:-  Android mobile, Hindi trick, technology, Mobile App etc.

Ish trah se aapko apne video ke tags likhne hai, aapko sirf apne video se relative tags hi likhne hai. Aapke tag me likhe huye words ko jab koi youtube par search krega tab aapka video bhi search result me dikhai dega.

5. Ye aapke video ka thumbnail hoga.

6. Ye aapke video ka link hoga, aap chahe to ishe ynha se copy karke video ko publish krne ke baad social media par apne friends ke sath share kar skte hai.

7. Ynha par click karke aap apne video ke liye custom thumbnail bhi lga skte hai. Par custom thumbnail lgane ke liye pahle aapko apne channel ko verify krna hoga. Aap ynha click krke youtube channel ko verify kaise karte hai ? Iske bare me jan skte hai.

8. Ager youtube par aapke bahut sare videos ho to ish option ki madad se aap apne videos ko category ke hisab se alag alag playlist create krke unme daal skte hai. But ager aap new youtuber hai to aapko iski koi jarurat nhi hai, ishe rhne de.

9. Ynha se aap apne video ko direct social media par share kar skte hai.

10. Ynha se aap apne video ki privacy set kar skte hai. Ager aap apne video se earning krna chahte hai to ishe Public hi rehne de. Aur ager aap apne video ko kisi ko nhi dikhana chahte to ishe private bhi kar skte hai.

11. Ager aapke channel par monetization enable hai to aap ynha se ush video ki monetization on/off kar skte hai.

12. Jab pura video upload ho jaye to aapko Publish button par click krke video ko publish kar dena hai.

Bas iske baad aapka video youtube par publish ho jayega aur uske baad ush video ko youtube par koi bhi search krke dekh skta hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap chrome browser me YouTube par videos upload kar skte hai. Ager YouTube se related abhi bhi aapka koi swaal ho to aap comment karke puchh skte hai.

Friends last me main aapko ek advice dena chahuga ki YouTube par sirf aapne khud ke bnaye hue videos hi upload kre, kisi aur ke copyrighted video upload na kre. Nhi to aapka channel kabhi bhi delete ho skta hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ