Youtube Videos Ke Liye Free Background Music Knha Se Aur Kaise Download Kre

Ager aap ek youtuber hai to aapko apne videos ke liye background music ki jarurat jarur padti hogi. But hum koi bhi music apne videos ke background me nhi lga skte hai, kyunki aisa krne se baad me copyright ki problem ho skti hai. Ish liye aaj ish post me hum aapko kuch aise free music ke bare me batane wale hai, jinhe aap apne videos ke background me lga skte hai aur unko monetize bhi kar skte hai, bina copyright ke darr ke.

Ye Bhi Padhe...

Ish post  me hum jin music's ke bare me baat krne wale hai wo youtube khud hume apne videos me lgane ke liye deta hai, ish liye aap bina copyright ke darr ke un music's ko apne videos me lga skte hai.

To chliye ab baat krte hai ki hume wo background music knha se aur kaise milenge ? Iske liye humne kuch steps btaye hai, unhe follow kre.

Step:- 1
Sabse pahle aapko apne pc/mobile ke chrome browser me youtube.com par jana hai (Ager aap mobile user hai to chrome me 'desktop mode' enable kar le )

Uske baad aapke samne aisa page open hoga.

Youtube Videos Ke Liye Free Background Music Knha Se Aur Kaise Download Kre

Yaha par aapko profile icon par click krna hai, ager aapne youtube me sign in nhi kar rkha hoga to pahle aapse sign krne ke liye kaha jayega. So apni gmail id aur password dalkar sign kar le.

Uske baad phir profile icon par click kre, uske baad aapke samne aisa page open hoga.


Yaha par aapko 'Creator Studio' par click krna hai.

Step:- 2
Uske baad aisa page open hoga.


Yaha par aapko Create par click krna hai.

Step:- 3
Uske baad aisa page open hoga.


1. Yaha par aapko sabse pahle Audio Library par click krna hai.

Jaisa ki aap upper image me dekh skte hai ki aapke samne bahut sare music's aa jayenge. But abhi aapko ye download nhi krne hai. Kyunki inme kuch music aise bhi hai jo free nhi hai, aur jo music free nhi hai, hum unhe apne videos me add nhi kar skte hai.

But hume to sirf free music chahiye, iske liye niche wala 2nd step follow kre

2. Yaha  aapko 'Attribution' par click krna hai. Uske baad ek aisa page open hoga.


Yaha par aapko 'Attribution not required' par click krna hai.

Attribution not required par click krne ke baad aapke samne sirf wahi music aayenge jo bilkul free honge, ish liye ab aapke samne jitne bhi music aayenge wo sab free honge, so aap unhe download karke apne video me add kar skte hai.

3. Yaha par click karke aap music ki duration kitni honi chahiye ye select kar skte hai.

4. Aapko konse instrument ka music chahiye, yaha aap wo select kar skte hai.

5. Aapko konse mood ka music chahiye jaise happy, sad, motivational etc, wo aap yaha se select kar skte hai.


FAQ

Youtube Se Copyright Free Music Kaise Download Kare ? 2024

Aap youtube audio library se copyright free music download kar sakte hai.

Youtube Video Me Lgane Ke Liye Copyright Free Music Kaha Se Download Kare ?

Youtube Audio Library se download kare.

Bina Copyright Ka Background Music Kaise Download Kare ? 2024

Aap youtube audio library se bina copyright ka background music download kar sakte hai.


To ish trike se aap apne youtube videos ke liye free background music download kar skte hai aur use kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya aapka koi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ