Laptop Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye - How To Use WhatsApp In PC

Friends Whatsapp ek bahut hi popular messenger app hai jo ki sabhi android mobiles me hota hai. Ish liye lagbhag sabhi internet users apne mobile me whatsapp use krte hai.

But kai baar hume apne computer ya laptop me bhi whatsapp chlane ki jrurat pad jati hai. But hum me se sabhi ye nhi jante hai ki computer ya laptop me whatsapp kaise chlate hai ? ish liye wo aisa nhi kar pate hai.

To ager aapko bhi nhi pta hai ki apne computer ya laptop me whatsapp kaise chlate hai ? to ye article aapke liye bahut hi helpful hone wala hai ish liye ishe last tak jarur padhe. Ish article me hum aapko pc me whatsapp chlane ke 2 trike batane wale hai.

Ye Bhi Padhe...


How To Use WhatsApp In PC ?


Aapko jankar khushi hogi abhi whatsapp ne apna software pc ke liye bhi shuru kar diya hai. Aap apne pc ke app store me jakar whatsapp type karke search kare, aapko whatsapp software mil jayega, fir aap ushe download kar sakte hai aur usme apne mobile number login karke pc me whatsapp ka istemaal karna shuru kar sakte hai.

Iske alawa ek aur trika hai jiske dwara aap apne phone wala whatsapp pc me chla sakte hai. Iske liye aapko niche btaye gye steps follow karne honge.

Laptop/ Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye ?


1. Iske liye sabse pahle to aapko apne computer ya laptop me whatsapp ki website Web.whatsapp.com par jana hai.

2. Uske baad aapke samne ish website ka home page ish trah se open hoga.

Laptop Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye - How To Use WhatsApp In PC

Yaha par aapko ek QR code dikhai de rha hoga. Isko aapko apne mobile ke whatsapp account se scan krna hai. Iske liye aapko apne ush mobile me whatsapp ko open krna hai jiska account aap apne laptop ya computer me chlana chahte hai.

3. Mobile me whatsapp ko open krne ke baad ish trah se upper right corner me aapko 3 dots dikhai dengi. Aapko ush par click krna hai.


4. Uske baad aapko ek 'WhatsApp Web' ka option milega, ush par click kre.

5. Phir aapke samne ish trah se page open hoga.


Yaha apko 'OK, GOT IT' par click krna hai. Uske baad QR code scan krne ke liye aapke mobile ka camera on jayega. Ish liye aapko apne mobile se ush laptop/computer wale QR code ko scan krna hai.

6. Code scan hote hi ush laptop/computer me aapke mobile wala WhatsApp account open ho jayega. Uske baad aap apne mobile wale whatsapp account  ko apne laptop ya computer me bhi use kar skte hai.

Iske alawa aap ish trike se apne kisi friend/boyfriend ya girlfriend ka whatsapp bhi apne mobile me chla skte hai. Iske liye aapko whatsapp ki site ko computer ki jgah apne mobile me open karna hai, uske baad same wahi process hai jo upper batayi gyi hai.


FAQ

Kya Hum Computer Me Whatsapp Download Kar Sakte Hai ?

Yes, pc ke liye bhi ab whatsapp software aa chuka hai jo aapko app store me mil jayega.

Computer Me Whatsapp Kaise Download Kare ? 2024

Aap apne pc ke app store me jakar Whatsapp type karke search kare aapko whatsapp software mil jayega, fir aap ushe download kar sakte hai.

Bina Web Whatsapp Ke Pc Me Whatsapp Kaise Chlaye ?

Aap app store me jakar whatsapp software download kar sakte hai, fir aapko web whatsapp ki jarurt nahi pdegi.


Ye Bhi Padhe...

To dosto aapko ye post kaisi lgi hume comment karke jrur btaye. Ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne friends ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ