Mobile Data pack ko jyada samay tak keshe chlaye

Mobile Data pack ko jyada samay tak keshe chlaye:- Hello friends Aaj kal lagbhag sabhi android user's apne mobile me internet chlate h. Internet chlane ke liye hume apne mobile me data recharge krna padta hai, jo ki aaj kal bahut mehnga ho gya h. Ish liye her internet user apne data pack ko jyada se jyada samay tak chlane ki kosis krta hai.

Aaj hum ish post me ishi bare me baat krenge ki kaise apne data pack ko jyada se jyada samay tak chlaye ya apne data pack ko kaise bchaye. Ish post me hum aapko 5 best tips btayenge jinki madad se aap apne data pack ko jyada samay tak chla skte hai.

Mobile Data pack ko jyada samay tak keshe chlaye

Aap in 5 tips ko follow kar ke apne internet data pack ko jyada samay tak chla skte h. Ynha par jo tips btayi gyi hai, wo android mobile users ke liye h. Ager aap bhi android mobile use krte hai to ye tips aapke liye jarur helpful hongi.

To ab hum un 5 tips ke bare me baat krte h.

Mobile Data pack ko jyada samay tak keshe chlaye


1. Facebook Lite 

Lagbhag her internet user Facebook chlata h, aap bhi jarur chlate honge. Ish liye aapko facebook chlane ke liye Facebook Lite App use krna chahiye. Kyunki ye chlane me bahut hi easy aur light App h sath hi isme Facebook chlane se internet data kam charge hota h.

Aapko ye App play store par aasani se mil jayega. Facebook Lite abhi download krne ke liye ynah Click Kre. Ye lagbhag 1-2 MB ka chhota sa app h, ish liye aap ish app ko use kar ke apne data pack ko jyada samay tak chla skte h.

2. Whatsapp

Jis trah se lagbhag her internet user facebook chlata h waise hi WhatsApp bhi chlata h, aap bhi chlate honge. Ish liye aap whatsapp setting me kuch changes kar ke whatsapp me faltu me barbad hone wale apne internet data ko bcha skte hai.

Whatsapp me faltu me barbaad hone wale internet data ko bchane ke liye sabse pahle aapko WhatsApp setting me jana hai.

Phir 'Data Usage' par click kar ke 'When Using Mobile Data' par click krna h.

Ab aapke samne ek page open hoga jis me photo, video, audio aur document jaise kuch options honge aur unke samne box hoga. Ynha par jis bhi option ke samne (√) ka nisaan h wo htana( remove krna ) h aur phir Ok par click krna hai.

Ye settings save krne ke baad aapke mobile me whatsapp me aani wali media files automatic download nhi hogi aur aapka internet data faltu me khrch hone se bach jayega.

Whatsapp settings me 'Data Usage' wale option me hi aapko niche 'Low Data Usage' ka option milega us par bhi √ ka mark lga de taki whatsapp call krte time bhi kam data use ho.

3. DataBack

Ye bhi ek achha app h, ye app aapke dwara use kiye gye internet data ka 50% wapas deta hai, ish liye aap ye app use kar skte hai. Databack app abhi download krne ke liye ynha Click Kre ya aap play store se bhi download kar skte h.

Ish app se aapko internet data tabhi wapas milega jab aap ish app ko open krke uske dwara net use kroge. Matlab pahle aapko DataBack App open krna h, phir ish app me aapko Facebook, Whatsapp etc ko open krne ka option milega. Wnha se Facebook Whatsapp ya other app ko open kar ke use krna h, tabhi aapko data wapas milega.

DataBack app me 150 MB hone ke baad aap unhe redeem kar skte hai.

4. Chrome Browser

Ager aap chrome browser use krte hai to ush me bhi aap apna internet data save kar skte hai. Iske liye aapko chrome browser ki setting me jakar Data Saver ko on krna hoga. Data Saver on krne ke baad chrome browser me internet chlane par internet data kam ktega.

5. History clear

Aapko apne mobile me ek sath jyada apps open kar ke nhi rkhne chahiye. 1,2 apps ya browser ke alawa koi bhi app open kar ke na rakhe. Matlab ager aapne whatsapp aur facebook open kar rkhe h aur abhi koi aur app open krna chahte hai to pahle aapko Home key ko hold kar ke History clear krni chahiye, uske baad kisi aur app ya browser ko open krna chahiye.

Aisa nhi krne par open kiye hue apps background me chlte rhte h aur aapka internet data kat ta rehta h. Ish liye aapko apps ki history clear krte rehna chahiye, taki background apps ki wjah se aapka internet data faltu me barbaad na ho.

Must Read

To friends ye kuch tips thi, jinhe follow kar ke aap apne internet data pack ko jyada samay tak chla skte h.

Dear readers ager aapko ye post achhi lge to apne friends ke sath bhi share kre.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ